Jab Husan Tha Unka jalwa Numa | Muhammad Owais Raza Qadri | 2018

 

 

Jab husn tha unka jalwa numa anwaar ka alam kya hoga

Har koi fida hai bin dikhe didar ka alam kya hoga

 

Ek samt ali ek samt umar siddique idhar usman udhar

in jagmag jagmag taro me sarkar ka alam kya hoga

 

jis waqt Halima ki godi anwaare khuda se roshan thi

us waqt Halima dai ke ghar bar ka alam kya hoga

 

jab unke gadabhar dete hai shahane zamana ki jholi

mohtaj ka jab ye alam hai to mukhtar ka alam kya hoga

 

chahe to ishare se apne kaya hi palat de duniya ki

ye shaan hai khidmat garoon ki sardar ka alam kya hoga

 

sun sun ke sahaba ki baatein kuffar musalma hota hai

fir mere rasool e akram ki guftar ka alam kya hoga

 

taiba se hawae aati hai bekal ko suku mil jata hai

is paar ka jab ye alam hai to us paar ka alam kya hoga

 

Jab husn tha unka jalwa numa anwar ka alam kya hoga

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *