Khusrawi achi lagi na sarwarie achi lagy
Hum faqiroon ko Madine ki gali achi lagy
Door thy to zindagi be rang thi be-kaif thi
Un ky koochay main gaye to zindagi achi lagy
Main na jaun ga kahin bhe daar Nabi صلى الله عليه و سلم ka choor kar
Mujh ko kooy-e-Mustafa صلى الله عليه و سلم ki chakari achi lagy
Naaz kar tu ae Halima Sarwar-e-Kownain par
Gar lagi achi to teri jhown pari achi lagy
Rakh diya Sarkaar kay qadmoon pay Sultanoon ne saar
Sarwarey kown-o-makaan ki saadgi achi lagy
Mahr-o-mah ki roshani mana ky achi hai magar
Sabz Gumbad ki mujhy to roshani achi lagy
Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se
Zindagi achi lagi na bandagi achi lagy
Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi
Ashaqan-e-Mustafa ko woh bari achi lagi
Hum faqiron ko madine ki gali achi lagy
Hum faqiroon ko madinay ki gali achi lagy
Comment