Aik shab khwab mein jab meine madina dekha
Noor barasta hua gumbad khizra dekha
Kaise galiyan then jahan khely Hasan as aur Hussain as
Eid par unki sawari thy Rasool e saqalain saww
Ishq ky noor se wo sara elaqa dekha
Mein wahan dor e Paighamebar saww ky khayalayat mein tha
Sehan e Masjid se hi rasta tha Nabi saww ky ghr ka
Shukar ka kia sajda khuld ka tukra dekha
Sehan e masjid tha wo membar wo chatai wo dari
daras sunnty thy jahan beth ky ashab e Nabi
Meine us khwab mein manzar ye sehna dekha
Naqa tehra tha jehan khwab mein dekha wo makan
Tala ul badarul alaina ki sadayen them jahan
Tha jahan jehan jashan e Nabi saww sara wo khatta dekha
Jis jaga ayr Payambar saww bhi salami ky liye
Us jaga mangi dua meine ghulami ky liye
Bhegi ankhoun se musalsal dar e Zehra sa dekha
Chalty chalty jo baqiya ky qareen mein poucha
Ashak behne lagye phir zabt ka yarana na raha
Qabar e Zahra sa py wahan meine ye saya dekha
Mein baqiye pouncha tu roty huye meine dekha
Qabar uski hai kari dhoop mein ur hai be saya
Jis ky Baba saww ka kisi ne nahi saya dekha
Kiya kahun roze ki jali se mein lipta aise
Jaise bacha koi madar ky kaleyje se lagye
Apni taqdeer ko meine bara uncha dekha
Phir mere dil ny kaha moqa ye acha hai bara
Apne sarkar saww ko sarkar saww ki na’aten tu sunata
Arsh se farsh talak noor bikharta dekhta
Comment