Ahl e Nazar Ki Ankh Ka Tara Ali Ali
Ahl e Wafa Ke Dil Ka Sahara Ali Ali
Ali Ali Har Dam Ali Ali
Ek Kaif Ek Suroor Sa Rehta Hai Raat Din
Jabse Hua Hai Wird Hamara Ali Ali
Ali Ali Har Dam Ali Ali
Rehmat Ny Ly Liya Mujhy Aaghosh E Noor Mein
Mein Ny Kbhi Jo Ro K Pukara Ali Ali
Ali Ali Har Dam Ali Ali
Duniya Me Sabse Aala Gharane Ke Noor Ho
Is Waaste Hai Naam Tumhara Ali Ali
Ali Ali Har Dam Ali Ali
Kaabe Ke Buuth Giraye Nahi Apne Haat Se
Sarkar ﷺ Ne Muskura Ke Pukara Ali Ali
Ali Ali Har Dam Ali Ali
Ahl e Nazar Ki Aankh Ka Tara Ali Ali
Ahl e Wafa Ke Dil Ka Sahara Ali Ali
Ali Ali Har Dam Ali Ali
Shadat ko goud tu ne liya
Mohabbat ki rasam tuj se chali
Ali Haq Ali Haq Ali Haq Ali Haq
Dua e gareeb ka hum sab ka
bigate nasib ka chahi hai
wo Kaaba wo Khuda ka wo phele ghar
Padi jis pe Teri pheli Nazar
Wo jaha Teri pheli dhadkan jali
Ali Haq Ali Haq Ali Haq Ali Haq
Samaat ko deead Tune kiya
talab ko shadid Tune kiya
karam ye mazid Tune kiya
muje bhi Murid Tune kiya
ye jaah teri aahato me dhali
Ali Haq Ali Haq Ali Haq Ali Haq
Jungle Pahaad Kehte Hain Naad e Ali Ali
Mushkil Ko Meri Hal Karo Mushkil Kusha Ali
Ali Ali Har Dam Ali Ali
Siddiq ka dilbar Haidar Haidar
Farooq ka pyara Haidar Haidar
Usmaan ka dulara Haidar Haidar
Ham sab ka pyara Haidar Haidar
Ali Ali dam dam Ali Ali
Tan Par Ali Ali Ho Zubaan Par Ali Ali
Marjaon Mein To Likhna Kafan Par Ali Ali
Ali Ali Har Dam Ali Ali
Aazam Yeh Maghfirat Ki Sanad Hai Hamare Paas
Hum Hain Ali Ke Aur Hamara Ali Ali
Ahl e Nazar Ki Ankh Ka Tara Ali Ali
Ahl e Wafa Ke Dil Ka Sahara Ali Ali
Ali Ali Har Dam Ali Ali
Comment