Mir Hasan Mir | AGAYA SHABAAN Manqabat | 2018

 

AAGAYA SHABAN
Marhabaa…..
Marhaba salle alaa
Aagaya shaban qushiyo’n ke zamaaney aagaye
Roney waaley mehfilo’n mey muskuraaney aagaye
Kaun aaya hai zamee’n par bankey zeenat baap ki
Panjatan qudd shauk mey jhoola jhulaaney aagaye
Pyaasa bachpan mey bujhaakar sheh ki Gaazi Ney kahaa
Dekhiye baba hamey waadey nibhaaney aagaye
My Alam leykar chalaa to aayi Gaazi ki sadaa
Ho Mubarak ab tumhey baazu kataaney aagaye
Dekhney sidraa se aagey ke manaazir jibraeel
Fatema zehra ke Ghar chakki chalaaney aagaye
Shikwa qismat se na karna jaun se boley Husain
Ab to raazii hai tujhey hum qudd manaaney aagaye
Qabr mey pahunchaa Jo momin aayi baali se sadaa
Aye farishto’n jaao kyu Isko jagaaney aagaye
My Ney likkha tha fidak ki maalika tujhko salaam
Qaar mey Kuch log Mera Ghar jalaaney aagaye
Dekhkar manzar najaf se karbala Tak yuu lagaa
Jaisey qaayam ki hukoomat ke zamaaney aagaye
Is jahaa’n mey aye takallum hum faqeer e booturaab
dushman e zehra ko mittii mey milaaney aagaye
Marhabaa salle alaa

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *