Babul hawaij Aba al fazal x3
Abbas as Mola Abbas as Mola
Dar per bula lo kismat jga do
deen e khuda ka hamil bana do x2
Babul hawaij nazr e karam ho roza dikha do
hai ye ghazi as ka istigasa
Abbas as Mola Abbas as Mola
noor e nazar ho sheer e khuda ke
tm say jurray han kisy wafa ke
tm ko dua e zahra sa ka hasil
hajit rawa ho har ek dua ke
har dard e dil ke ho tm ho sahara
Abbas as Mola Abbas as Mola
dhaal ho tm shah ki karbala me
ye roob chaya ahle jafa me
hukam e imamat sar kiya kham
tari riza ha rab ki raza me
qaim bharam hai tari waafa ka
Abbas as Mola Abbas as Mola
haider as sa lahja hai tari guftugu me
ek khoof tari fojee adoo me
sifeen bhooly ga kasy dushman
azamo oo shujaat tary laho me
tu hai jo jaree share e khuda ka
Abbas as Mola Abbas as Mola
har dam khula ha darbar ghazi as
nusrat ko har dam tyar ghazi as
mango khuda sy dy kar wasila
khaliq ka be ha dildar ghazi as
dy ga hawala gar ho dua ka
Abbas as Mola Abbas as Mola
lahra raha ha parcham jahan me
hum rah rahy han is ki amaa me
jurat wafa ha jaro hasham ha
taseer hai panjay ke nishan me
dushman pay ha tari is say larza
Abbas as Mola Abbas as Mola
piyaso ki hasrat ha aas ghazi as
zainab sa ke pardy ki as ghazi as
bali sakina sa ke lab per naara
bacho ko pani ki piyas ghazi as
ahly haram ne mil kar pukara
Abbas as Mola Abbas as Mola
hukm e imamat pay sar jhukaye
paltay nahar sy bazoo kataye
phir kasy biyan ho ye masayab
zeen say zameen py jab ghazi as aye
ahly aza ka girya o naza
Abbas as Mola Abbas as Mola
ghazi as karam ki ye inteha ha
ali deep tary dar ka gaaada ha
ye nokri jo is ko mili ha
sadqy me tary rab ki raza ha
is ka to aqa is ka to mola
Abbas as Mola Abbas as Mola
Comment