Mir Hasan Mir | Yeh Karbala Hai Noha | 2016

 

Allahumm-ar-zuqna ziyarat al hussain..(2)
Fi fuaadi karbala, wan-nidai karbala
Karbala awaaz meri, dil mera hai karbala
karbala, karbala, karbala..(6)
 
Yaha’n sambhal kar qadam uthana
yeh karbala hai, yeh karbala hai..(2)
 
Yeh baat hargiz na bhul jaana
yeh karbala hai, yeh karbala hai
Karbala karabala karbala
 
1. Jahan e sabr o reza yehi hai
nida e  sabr o reza yehi hai
yaha’n pe aake hai chalke Mehdi(a.t.f.s)
Behisht e zahra ye sar zamee’n hai
yaha’n hai zahra ka aana jana
 
yeh karbala hai, yeh karbala hai
 
2. Duaein denge hussain tumko
yaha’n pe aansu agar bahaye
yaha’n pe beti ne bewatan ki
sitamgaro se tamache khaye
yaha’n pe khushiyo ko bhul jaana
 
yeh karbala hai, yeh karbala hai
 
3. Yaha’n pe guzri hai wo qayamat
mila na usko sukoon ab tak
ridaein chinne ke ghum mein abid
lahad mein rota hai khoon ab tak
yaha’n pe hargiz na muskurana
 
yeh karbala hai, yeh karbala hai
 
4. Yaha’n pe hurr bhi tha hurmala bhi
kitabe hasti ko padhke dekho
sada e halmin jo aa rahi hai
tum is taraf ho ya us taraf ho
tumhe amal se hai ab batana
 
yeh karbala hai, yeh karbala hai
 
5. Kahi’n pe qasim hue hai tukde
kahi’n pe zee’n se gire the maula
kahi’n sakina sumo se lipti
kahi’n pe asghar ne teer khaya
yahi’n ghareebi ka hai thikana
 
yeh karbala hai, yeh karbala hai
 
6. Sawari aayegi ek waha’n se
najaf ki janib nigaah rakhna
jab aaye shame ghariba’n jis dum
ali ko zainab ka pursa dena
tum aansuo ke diye jalana
 
yeh karbala hai, yeh karbala hai
 
7. Kisi ke dil mein lagi hai barchi
kisi ke baazu kate yehi par
haye ali ki beti ke kitne yusuf
lahu mein doobe hai is zamee’n par
luta hai sadaat ka gharana
 
yeh karbala hai, yeh karbala hai
 
8. Rahe kahi’n bhi jaha’n mein jakar
hussain wale ye jaante hai
hum ehle matam ke dil takallum
yaha’n ki mitti se hi bane hai
yaha’n hai wapas palatke aana
 
yeh karbala hai, yeh karbala hai

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *