Mesum Abbas | Kazim Ka Hai Janaza | Noha Imam Musa Kazim | 2019

 

Haye Musa e Kazim, Haye Moosa e Kazim

Kazim Ka Hai Janaza, Baghdad Ke Pul Par

Rone Ko Ayeen Zahra (x2), Baghdad Ke Pul Par

1) Pacheeswi Rajab ko, Taboot He Ye Kaisa
Dooba Huwa Lahu Me, Zanjeer Me Hai Jakra
He teen din se rakha, Baghdad ke pull par

2) Haroon ne na-jaane kaysa zehar diya he
Tan paash paash haye Kazim ka ho gaya he
Gathri ma aaye Maula, Baghdad ke pull par

3) Beta Imam ka he, baba Imam ka he
Sheh ki tarha se is pe, ghurbat ki inteha he
Begoro be kafan tha, Baghdad ke pul par

4) Jis be-watan ki mayat, mazdoor ne uthayi
Mayat pe jis padar ki, beti bhi ro na payi
Roti he us ko dunya, Baghdad ke pul par

5) Utre badan ke tukre, zanjeer me lipat kar
Masooma dekhti to, mar jaati vo waheen par
Kiss haal me he baba, Baghdad ke pul par

6) Sarwar ki laadli pe, chauda baras jo roya
Abid ko sath le ke, karne ko us pe girya
Aati he khud Sakina, Baghdad ke pul par

7) Uth-ta he jab janaaza, haye saathwe Ali ka
Karne ko uss pe girya, aateen hen Bibi Zahra
Logo adab se aana, Baghdad ke pull par

8) Jab Kazmain jao, Kazim ka gham manane
Ay Arsalan o Mesum, Wajib huwa he tum pe
Taboot tum uthana, Baghdad ke pull par

Kadhim ka he janaza, Baghdad ke pul par

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *