Hamaray hain ya Hussain a.s
mein Karbala me khara hoon libaase sog me hun
hai Arbaeen Hussain a.s aur Hussaini a.s Lashkar ka
karoron log hain saare libaase sog me hain
har ek nasl har ek rang har zabaan ke log
nigaahen roza e Shabbir a.s ke tawaaf me hain
labon pe haaye Hussaina a.s ghareeb haay Hussain a.s
khayaal aata hai eksathwi sane hijri ka
aur us Muharram ka yehi maqaam tha
yehi maqaam tha ek Banda e khuda jiska Hussain a.s naam tha
Hussain a.s naam tha jiska rahe Khuda me
hatheli pe Sar uthaaye huwe
har ek daur ke insaan ki aabru ke liye
wo apne dil pe bahattar ke zakhm uthaata raha
wo apne jism pe zakhmon pe zakhm khaata raha
qadam barhaata raha qadam barhaata raha
bas ek azm tha insaan surkh ru ho jaaye
bas ek dhun thi ke insaaniyat na mar jaaye
insaaniyat pe hai ehsaan Hussain a.s ka
ehsaan hi to hai ehsaan ka sila
har dil me ya Hussain a.s har dil me Karbala
bedaar kar diya jo Zamaana Hussain a.s ne
besaakhta tamaam Zamaana ye keh utha
ke Hamaray hain ya Hussain a.s
Hamaray hain ya Hussain a.s
insaaniyat ki shaan barhaayi Hussain a.s ne
insaaniyat bashar ko sikhaayi Hussain a.s ne
insaaniyat ki pyaas bujhaayi Hussain a.s ne
insaan jab Hussain a.s ke paykar me dhal gaya
insaaniat pukaari wa to izzo man tasha
ke Hamaray hain ya Hussain a.s
dunya ke har adab me hai hissa Hussain a.s ka
dunya ki har zabaan pe hai qabza Hussain a.s ka
insaan samajh raha hai ye rutba Hussain a.s ka
taarikh ko Hussain a.s ne hayraan kar diya
saare jahaan ke ehle qalam ne ye likh diya
ke Hamaray hain ya Hussain a.s
Kuy Karr aha hai Pyar Zamana Hussain a.s say
Kia Mil raha hai Usko Khazana Hussain a.s Say
Kuy Kar hai khud Hussain a.s ka Nana s.a.w.w Hussian a.s Sey
Sajday ko Tool Day Ka Nabbi s.a.w.w Nay Bata Dia
ISs kay Siwa Jawab e Muhammad s.a.w.w na hai na Tha
ke Hamaray hain ya Hussain a.s
sureh me “maa uti” ke Allah ne sunaaya
takhleeqe kul me insaan ashraf tujhe banaaya
insaan ka dard dil me insaan ke utaara
insaaniyat ka maktab ghar Panjetan ka rakha
us ghar me Panjetan ke ek shehr ko basaaya
phir apna khoon deke us shehr ko sanwaara
ye shehr naynawa hai ye shehr maariya hai
ye shehr Karbala hai ye shehr Karbala hai
dil hai to Karbala dil hai to ya Hussain a.s
insaaniyat samajhne chalo Karbala chalo
haan thaam lo Hussain a.s ke daaman ko thaam lo
Hur Joun aur Habib ki saf me khare raho
dil hai to ab Hussain a.s ki aawaaz ko suno
Farmaate the Hussain a.s wo insaan nahi hai
Lootey jo dil ka chain wo insaan nahi hai
Roein na jis ke nain wo insaan nahi hai
hans de jo sun ke bain wo insaan nahi hai
insaaniyat bachaye wo insaan hai insaan
insaan ka dukh uthaaye wo insaan hai insaan
dars e wafa sikhaaye wo insaan hai insaan
jo sab pe rehm khaaye ilm o amal barhaaye
insaaniyat bachaaye wo insaan hai insaan
insaan ko Hussain a.s ne insaan banaa diya
insaaniyat ke lab pe musalsal thi ye sada
ke Hamaray hain ya Hussain a.s
do tarha ke huwe karte hain jahaan me insaan
hain juda raaste donon ke ba qaul e quraan
aadmi ek yazeede azali me ubhra
ek insaan Hussain a.s ibne ali me ubhra
us taraf khaam khayaali naya islaam bane
is taraf azme jalaali ke shariyat na mite
us taraf saltanat o daulat o taaqat ka ghurur
is taraf chota sa ghar khaak me hai mamba e noor
ek taaqat ke takabbur me jo itra ke chala
dusra Nana s.a.w.w ke Marqad se dua paa ke chala
ek nau laakh ke lashkar ko liye saath chala
dusra goad me Asghar a.s ko liye saath chala
us taraf nezey the talwaaren thi aur bhaale the
is taraf shauqe shahaadat liye dil waale the
us taraf jashn manaate the zamaane waale
is taraf bekas o be aas Madine waale
ek taraf tashna dahaan sab ke sab khushk zabaan
unka maqtal ka jahaan raet saari thi tapaan
door thi nehr e rawaan al hafiz o al amaan
al hafiz o al amaan
kya dil tha dil Hussain a.s alayhe salaam ka
jis me koyi khayaal na tha inteqaam ka
dil tha to dil pe kaar e Risaalat utha liya
dil tha to dil pe noor e Shahaadat utha liya
dil tha to dil pe baar e Qayaamat utha liya
dil tha khuda ke ishq me sab ghar luta diya
dil tha to dil pe daaghe bahattar utha liya
dil tha sambhal ke laasha e Akbar a.s utha liya
had hai janaaza e Ali Asghar a.s utha liya
Hussain a.s dil hai tera
Karbala kya thi laeenon ki shaqaawat kya thi
soch insaan ke saadaat ki ghurbat kya thi
eid guzri hai abhi ya’ni ke eide qurbaan
aap ne pura kiya hoga ye rukne imaan
chand sharten hain zabiha ki baraaye insaan
sharte awwal hai ke kamsin na ho bimaar na ho
aur bhuka na ho paani ka talabgaar na ho
ru ba ru saamne haywaan ke haywaan na ho
waqte zibha wo ghari bhar ko pareshaan na ho
shart ye bhi hai churi bhi na dikhaawo us ko
zibha se pehle qazaa se na daraawo us ko
ho churi tez magar haath ho narmi se rawaan
ek hi waar me ho jaaye zabiha qurbaan
Al hafiz o al amaan
ab jigar thaam ke ay momino ye haal suno
lo zaraa Maqtale Shabbir a.s ka ehwaal suno
haaye haywaan ki dame zibha sharaayat itni
aur jis ghar se ye mansub huwi qurbaani
us ki aulaad ki maqtam me ye tauqeer huwi
koyi bhi shart zabihey ki nibhaayi na gayi
Al hafiz o al amaan
sharte awwal thi ke kamsin na ho dandan bhi ho
doodh pita na ho mar jaane ke imkaan na ho
tum ko ab maadare Asghar a.s ki qasam ehle azaa
qatl Asghar a.s jo huwe sochiye wo kya sin tha
teesra faaqa tha chhe maah ka sin waweila
ek bhi daant na nikkla tha Ali Asghar a.s ka
ek baalisht ka kurta tha Ali Asghar a.s ka
doodh pina bhi na chhoota tha Ali Asghar a.s ka
pehla kamsin hai ke jo zibha nahi nehr huwa
teer e seh pehlu se Masoom ko bhi maar liya
al hafiz o al amaan
sharte doyyam thi ke haywaan na ho bhuka pyaasa
aur haftum se the saadaat bina aab o gizaa
halq tar karte hain Qassaab bhi qurbaani ka
aur bahattar ko dam e zibha bhi paani na mila
jalti reti pe kahin Akbar a.s o Abbas a.s girey
aur kahin Aun a.s o Muhammad a.s aur Qasim a.s the parey
zibhe haywaan ka nahin hukm hai haywaan ke huzur
yaan na Shabbir a.s se Zainab s.a na Sakeena s.a thi door
Shaah un ko, wo suwe Shah e Umam dekhte the
zibha hote the Hussain a.s Ehl e Haram dekhte the
Hussain a.s ya Hussain a.s
mana’ dikhlaana churi ka hai pa e qurbaani
yaan tha nau laakh ke narghey me Ali a.s ka jaani
ek jaan baz khareedaar ey aazan billah
har taraf zzalim o khoon khuwar ey aazan billah
apne Rutbey ke kisi ko na shanaasa dekha
dekha pyaase ne jise khoon ka pyaasa dekha
aakhri shart churi tez ho narmi se rawaan
ta ke tarpe na aziyat se zaraa bhi haywaan
aakhri Sajda idhar karne lage Shah e Huda
kund karta huwa khanjar ko idhar shimr l.a chala
tera zarbon se Sar e Syed e Wala kaata
aur Mazlum har ek zarb pe deta tha sada
zarb pe zarb lagi kehtey the Amma Amma
Zarb e aakhir pe kaha ho mere Abbas a.s
Merey Abbas a.s kahaan
Comment