Huzoor Aisa Koi Intizam Ho Jaye | Muhammad Owais Raza Qadri | 2018

 

 

Huzoor Aisa Koi Intezam Ho Jaye

Salaam ke liye hazir ghulam ho jaye

Main sirf dekhlo ek baar subih tayaba ko

Bala se phir meri dunya me shaam ho jaye

Salaam ke liye hazir ghulam ho jaye

Tajaliyaan hath se bhar lo me apna kas e jaan

Kabhi jo un ki gali main qayam ho jaye

Huzoor aap jo sunle tu baat ban jaye

Huzoor aap jo kahdeen tu kaam ho jaye

Salaam ke liye hazir ghulam ho jaye

Huzooor aap jo chahen tu kuch nahi mushkil

Simat ke fasla ye chandigam ho jaye

Maza tu jab he farishte ye qabar main kahde

 

Sabhi mid hate khair ul anaam ho jaye

Salaam ke liye hazir ghulam ho jaye

 

Naseeb waalon mein mera bhi naam ho jaye

Jo zindagi ki Madinay mein shaam ho jaye.

 

Main shad shad maroon ga, agar dam e akhir

Naseeb jalwa e Khairul Anam ho jaye.

 

Salaam ke liye hazir ghulam ho jaye

 

Fuzool goi say bach jaye yeh zaban meri

Mera kalam Durood-o-Salaam ho jaye.

 

Pia Raza ne pia jo murshid nay,

Ataa mujhe shaha aisa jaam ho jaye.

 

Salaam ke liye hazir ghulam ho jaye

 

Shaha Ubaid-e-Raza dar badar phiray kab tak

Huzoor is ka Madinah maqam ho jaye.

 

Ubaid mar kay Madinah mein paa chuka hai baqi

Khabar watan mein kabhi to yeh aam ho jaye.

 

Huzoor Aisa Koi Intezam Ho Jaye

Salaam ke liye hazir ghulam ho jaye

 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *