Sayyada taahera raaziya marziya….
Wo Ghar ke hukm jahaa fatema ke chaltey hai
Tamaam kaam wahii se khuda ke chaltey hai
Ye kaisi raah guzar hai ye kaunsa darr hai
Ke Mustafa bhi yahaa sarr Jhukaakey chaltey hai
Jabee’n pey fakhr se roomaal e sayyada baandhey
Amaamey waalo mey hurr muskuraakey chaltey hai
Ke jaisey haath mey almaaida kasoora ho
Malak Yu rotiya Teri uthaakey chaltey hai
Banaa na ley koi dunya uthaakey Wo mitti
Yu naksh e paa Terey Hyder chupaakey chaltey hai
Aye hurr na ghabraa ye karbobala ki bastii hai
Yahaa pey faisley aaley abaa ke chaltey hai
Ye Terey faaqo ka sadqa hai aye Husain ki maa
Jo Ghar sukoon se ahley aza ke chaltey hai
Kahaa ajal se takallum Ney intezaar Karo
Sanaa e fatema Zehra sunaakey Chaltey hai
Comment