Shukria ya ALI -4
ALI ALI hum dum ALI ALI ALI ALI-2
ALI MOLA -5
ALI-ALI
ALI ALI hum dum ALI ALI
ALI-2
Sher E KHUDA nafs E KHUDA,
Haajat rawa’n mushkil kusha,
Karte hain sab NABI AS WALI
Karta hai KIBRIYA
Ya ALI tera shukria-4
Padhti hai ye Kabeh ki-2 diwar qaseeda tera.
Ya ALI tera shukria-2
1) Ho ik-ik karke sare rishte chod rahe the daaman,
Waqt e qaza tha mai tanha tha rukne lagi thi dhadkan,
Ay MOLA gar tum nahi aate-2
Maut se mai mar jata.
Ya ALI tera shukria
ALI haq-5
Ya ALI tera shukria-4
2) Han isse behtar hamd e KHUDA kya koi bhala likhega,
Jisko ALI sajda karta hai khud wo KHUDA kya hoga,
Kafi hai Tauheed samajhne ko tera ik sajda.
Ya ALI tera shukria
ALI haq-5
Ya ALI tera shukria-4
3) Han Kaabah kahan tha but khana tha aapne rakhli izzat,
Wo to kahiye BINT e ASAD ne karli khud hi zehmat,
Sehne ABU TALIB me warna Kaabah chal kar aata.
Ya ALI tera shukria
ALI haq-5
Ya ALI tera shukria-4
4) Nad e ALI hai inka wazeefa khaibar O khandaq lori,
Maut se unko dar nahi lagta maut hai unse darti,
Zikr se Tere sher hua hai qaum ka baccha baccha
Ya ALI tera shukria
ALI haq-5
Ya ALI tera shukria-4
5) Han ishq e ALI se ZAINABIYA azaad karaya usne,
Kya hain ALI k naukar ye dunia ko bataya usne,
Japd kahegi qabza karke dunia par HEZBOLLAH
Ya ALI tera shukria
ALI haq-5
Ya ALI tera shukria-4
6) Kaise hain ye diwane kyo inko nahi lagta dar,
Maut bhi sakte me thi akhir kya hain ALI ke naukar,
Dekh k apni maut ko jab ye-2
Sibt e Jafer bola.
Ya ALI tera shukria
ALI haq-5
Ya ALI tera shukria-4
7) Masjid me jab nam e KHUDA par bheek kisi ne mangi,
Hath badha kar dast e KHUDA ne apni angoothi dedi,
Akba sayil se pehle-2
Ye RAB e Akbar bola.
Ya ALI tera shukria-4
Ya ALI-4
Comment