Mir Hasan Mir | Haider ka Musalla Manqabat | 2015

 

Hayya a’laa khairil amal..(2) Ali Ali Ali ALi ALi Ali ..(2) Kya takhte sulemaa’n ki haqeeqat mere aage uddh kar bhi woh aflaaq se niche hi raha hai hai sarhade sidhra se bhi aage meri parvaas kadmon ne ali ke mujhe rutbaa yeh diya hai haider haider haider ..(2) haider ka mussalla hu main haider ka musalla ..(3) Rehta hai mere… Rehta hai mere zere qadam arshe moalla haider ka mussalla hu main haider ka musalla ..(2) 1. Din dhalte gaye aur guzarti rhi raatein tanhaai mein karte hue allah se baatein mujhpar hi mere maula ne ghazi ko tha maanga haider ka mussalla… 2. Taukeer o sharaf lafz hai main unki haqeeqat iss baat se samjhe yeh zamaana meri hurmat mujhko kabhi ..(2) zahra kabhi zainab ne bichhaaya haider ka mussalla… 3. Allah nahi hai ali allah ka wali hai ..(2) duniya ko daleel iski faqat mujhse mili hai sach maine kiya surah e ikhlaas ka daawa haider ka mussalla… 4. Khaamosh shabe aqde ali tha main adab se jab chaadare zahra pe ali karte the sajde aukaat meri kya thi ke uss waqt main kehta haider ka mussalla… 5. Tarteeb mei aage the nabi peeche the haider jab bayte muqaddas se mude kaabe k rukh par kuch pal ko ..(2) mere peeche tha sarwar ka musalla haider ka mussalla… 6. Is baat ki tasdeeq khudaz qaul nabi hai jo aashiqe haider hai namaazi hi wahi hai munkir jo ..(2) wilaayat ka hai dushman hai woh mera haider ka mussalla… 7. Maula ka mussalla bhi hu khairaat ka dar bhi anguthi mere saamne maula ne ataa ki jab haath badha tha toh main kadmo’n mei pada tha haider ka mussalla… 8. Ek din yeh samaa sab ko nazar aega ‘akbar’ kaabe mei bicchaaenge jo maula mujhe aakar eesa ka musalla mere peeche hi bichhega ..(2) haider ka mussalla… haider haider haider ..(2)

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *