Haaye
Qafela dasht e bala se jo sue shaam chala
laash e abbas e alamdar pe zainab ne kaha
abbas, abbas
Chin gai sar se rida, koi baaqi na raha
abbas tere jane ke baad..(5)
1. Tane deta hai mujhe dekh ke yu shimr laee
teri awaaz pe abbas tera aata nahi
ban gai farshe azaa tere liye ab ye zamee
shaam jana hi pada, ye sitam tujh pe hua
abbas tere jane ke baad..(3)
2. Roke kulsoom teri yaad me karti hai buka
teri haibat se kabhi soye nahi ehle jafa
kaisi badli ye tere baad zamane ki hawa
khush hue ehle sitam, so nahi paaye jo hum
abbas tere jane ke baad..(3)
3. Raah me aale payambar ka dilasa mai bani
shaam ke log tamashai tamasha mai bani
zakhm sadaat ne paye to maseeha mai bani
mai hi salaar bani mai alamdaar bani
abbas tere jane ke baad..(3)
4. Haaye darbar me aulad e nabi aa pohchi
aur sakina ko kanizi me bulata hai shaki
kisse faryad karu tu hi bata mere akhi
aur kya hoga sitam kitne lachaar hai hum
abbas tere jane ke baad..(3)
5. Naam lekar jo sitamgar ne bulaya mujhko
amma fizza ne pase pusht chupaya mujhko
yu bhi pardes me ada ne sataya mujhko
aise aalam me bhala, kisko deti mai sada
abbas tere jane ke baad..(3)
6. Hind zindaan me aai to ye kohraam utha
meri barbadi ka jab hind ne ehwaal suna
apna sar peet ke wo karne lagi wa waila
dekh kaisa hai sitam, qaid hai ehle haram
abbas tere jane ke baad..(3)
7. Tauqo zanjeer se sajjad jo azaad hue
qabr pe bali sakina ke gaye rote hue
rukh sue karbobala karke yahi bain kiye
seh nahi payi sitam, dukhtare shahe umam
abbas tere jane ke baad..(3)
8. Shaam se mazhar o farhan rihai jo mili
aaye maqtal me salami ke liye sab qaidi
ghutniyo chalte hue bhai ke marqad pe gai
the ye zainab ke sukhan, mar gai kyu na bahen
abbas tere jane ke baad..(3)
Comment