Nadeem sarwar.Aisa Alam Hai Kahan noha 2004

Ya Abbbas Ya Abbas

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Yeh Hai Abu Talib Ka Gharana

Is Py Khuda Ka Khas Karam Hai

Sary Arab Mein Sary Ajam Mein

Is Ko Mila Yeh Jaah O Hasham Hai

In Mein Koi Yaseen O Muzammil

In Mein Koi Sardar E Iram Hai

Us Ki Alag Hi Shan Hai Mola

Jis Ko Mila Haider Ka Alam Hai

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Kaisa Saja Hai Kaisa Haseen Hai

Karbobala Mein Shah Ka Lashkar

Yun To Sabhi Hain Shair E Dilawar

Aon O Muhammad Qasim O Akbar

Ibn E Mazahir Wahb E Qalbi

Joan Bhi Hurr Bhi Sary Dilawar

Apni Jaga Yeh Sab Hain Bahadur

Faoj Mein Teri Ay Sheh E Safdar

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Bad E Namaz E Fajr Ziarat

Tery Alam Ki Karta Hun

Sharf Ghulami Ka Mil Jaye

Main Yeh Wazeefa Parhta Hun

Kar Ky Ziarat Tery Alam Ki

Phir Main Ghar Sy Chalta Hun

Saye Mein Choda Masoomon Ky

Shukr E Khuda Mein Rehta Hun

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Hum To Sag E Darbar E Ali Hai

Khas Yeh Tujh Se Rishta Hai

Jadd Bhi Hai Tera Kull Ka Mola

Tu Bhi Hamara Aaqa Hai

Tery Faqeeron Mein Ay Ghazi

Arsh Nasheen Bhi Rehta Hai

Sindh Mein Aao Maula Qadam Par

Laal Qalandar Kehta Hai

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Sham Ky Lashkar Mein Hal Chal Thi

Kon Jari Ab Ata Hai

Boorhy Jawanon Sy Kehty Thy

Yeh To Ali Ab Ata Hai

Sar Py Khuda Thokar Mein Qaza Hai

Qahr E Jali Ab Ata Hai

Kehna Parhy Ahmad Ko Ali Sy

Tera Wasi Ab Ata Hai

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Teri Shahadat Sy Kunby Par

Kaisi Qayamat Toot Gai

Jis Ko Kaha Karty Thy Aaqa

Qatal Hua Woh Bhai Bhi

Sar Sy Chini Zainab Ky Chadar

Teri Sakina Qaid Hui

Haye Teri Majboori Ghazi

Maan Zehra Yeh Kehti Rahi

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Ab Bhi Aza Khanon Mein Parcham

Tera Aisy Rehta Hai

Sham Dhaly Aisa Lagta Hai

Koi Lipat Ky Rota Hai

Tery Alam Ka Surkh Pharaira

Haye Sakina Kehta Hai

Tum Hi Kya Rehan O Sarwar

Sab Ki Zuban Par Rehta Hai

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Aisa Jawan Hai Kahan

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *