Gire zameen pe maqtal mein jab ali akbar
tadap ke khaime se nikle hussain thaame kamar
chalu mai saath pukari jo zainab e muztar
behen ke dekhke bhai ne ye kaha ro kar
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab

Jawan bete ke seene mein..
1. Laee’n ne seene mein jab se sina ko toda hai
mera ghareeb pisar dard se tadapta hai
ragad raha hai wo maidaa’n me ediya’n zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein..
2. Wo jisko naazo se atthara saal pala hai
meri hi god mein woh laal marne wala hai
mai jab uthaunga wo lasha e jawa’n zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein..
3. Wo tumko dekhke royega khud ko samjhao
hai uski aakhri saanse na saamne jao
bohot rulayegi akbar ki hichkiya’n zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein..
4. Meri taraf bhi to dekho mai uska baba hu
nazar bhi kam hai kamar kham hai, aur pyasa hu
girunga raah mein jaane kaha’n kaha’n zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein..
5. Dua karo ke ye mushkil ka waqt tal jaye
sukoon se mere bete ka dum nikal jaye
na sun sakunga mai akbar ki siskiya’n zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein..
6. Wo baar baar madine ki simt dekhta hai
sadaein deta hai sughra ko aur rota hai
behen ki yaad mein uljhi hai uski jaa’n zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein..
7. Chale hussain ye zeeshan aur raza kehkar
sina ke saath kaleja bhi aayega bahar
hai baap bete ki ghurbat ka imteha zainab

Comment