Inna Lillahe Wa Inna Elayhe Rajeoon
Haye Ali (as) Haye Ali (as)
Zainab (sa) ka Chehra dekhte hein, Aur Maula Rote jate hein.
Abbas (as) ke aansu Pochte hein, Shabbir (as) ko kuch samjhate hein..
Aur Maula Rote jate hein.
Sar dekh ke Zakhmi Baba ka jab Betiyaa’n Rone Lagti hein,
Baccho ko Tasalli ki Khatir, Zehra (sa) ka Dard Sunate hein..
Aur Maula Rote jate hein.
Zakhmi Maula ki Aankho’n me Zakhmi Mashkiza phirta hai,
Abbas E Jari (as) ke Haatho se, Qaatil ko Jaam pilate hein..
Aur Maula Rote jate hein.
Phirta hai Nigaaho’n me Manzar Bazaaro ka Darbaaro ka,
Kuch der ko Ghar ke Aangan me, Zainab (sa) ko sath chalate hein..
Aur Maula Rote jate hein.
Ek Roz isi Koofe me tumhein Beparda Haram ko Lana hai,
Abid (as) ko laga kar Seene se, Bazaar ka Haal Sunate hein..
Aur Maula Rote jate hein.
Bhai ke sath meri Zainab (sa) jayegi jaha’n jane dena,
Ye tumko Wasiyat hai meri, Abdullah (as) se Farmate hein..
Aur Maula Rote jate hein.
Sadaat ke Rone ki jo Sadaa Parde se Bahar aati hai,
Pehchaan lo in Awaazo ko, Logo se kehte jate hein..
Aur Maula Rote jate hein.
Maloom tha ek Din Shaano me Zainab (sa) ke Rasan bandh jayegi,
Shabbar (as) se keh ke Qaatil ke, Hatho se Rasan Khulwate hein..
Aur Maula Rote jate hein.
Jab Nazr ki Hichki aati hai Zainab (sa) pe Nazar Ruk jati hai,
Allah tujhe Abaad rakhe, Hotho’n se Dua Farmate hein..
Aur Maula Rote jate hein.
Pucha hai Takallum Zainab (sa) ne Haider (as) se ye Aakhri Saanso’n me,
Kyu Baazu dekhe jate hein, kyu Sar ko Choome jate hein..
Aur Maula Rote jate hein.
Comment