Mazloom ka janazah Lachaar ka janazah
Ahista se uthao bimar ka janazah
Mazloom ka janazah Lachaar ka janazah
Khaye hain taazyane zakhmi hai
pusht saari Hain sheh ke ghum mai ab bhi
ankhun se ashk jaari Tasweer e ghum bana hai
ghumkhwar ka janazah Ummat ne zulm dhaye kufe
ki reh guzar me Jisko qadam qadam per loota gaya
safar me Hai aese qafle ke salar ka janazah Ehl e aza
tadap kr ansu baha rhe hain Taboot ko ye kehkr kandha
laga rhen hain Kese uthayen apne sardar ka janazah
Bharne ko bhar gye hain sb zakhm pindliyun ke Lekin
nishan ab bhi baqi hain baidiyun ke Dekho Hussain
apne dildar ka janazah Saidaniyan tadap kar sar apna
peet ti hain Sa’nse’n tu ruk gayi hain ankhen khuli
hoi hain Baqir ke muntazir hai deedar ka janazah
Ankhun se khon tapka tharra gaya kaleja Baqir ke dil se
poucho kese lehd me rkkha Abid ka muttaqi ka dee’n daar ka janazah
Aamir bhi ro rha hai akhter ki aankh num hai Beemar e karbla ka
sb ke dilu me ghum hai Nazru me ghomta hai khud daar ka janazah.
Comment