Mir Hasan Mir | Zainab (sa) Ka Naam Musallay Par Noha | 2018

 

 

Haye Ali….
 
Ro rokey ali kyu letey hai zainab ka naam Musalley par
 
Kya yaad Ali ko aaya hai baazaar e shaam Musalley par
 
1) khoo’n jaari tha zaqmi sarr se rotey they namaazi saff mey khadey
 
Kis tarha Hasan Ney rorokar kii fajr tamaam Musalley par
 
2) Kya maa ki tarha leney tumko masjid mey chali aaye Zainab
 
Baba ko jaakar do fizza Mera paigaam Musalley par

3) haaye

 
Zaqmi pehlu jab yaad aaya zaqmi peyshaani bhoolgaya
 
Zehra ki museebat par royaa mazloom imam Musalley par
 
4) ye pehli fajr hai zainab ki sajdey mey sukoo’n miltaa hi nahi
 
Dil doobta hai aata hi nahi ek pal Aaraam Musalley par
 
5) deewaar e kaaba baithgayi alhamd lahoo mey doobgayi
 
Ummat se milaa hai Maula ko kaisa in’aam Musalley par
 
6) us gairat daar ki gurbat par roti hai Ali ki gurbat bhi
 
Chaalees baras Jo kehta rahaa as’shaam as’shaam Musalley par
 
7) shabbir ki jaanib se Akbar khaatil ko pilaaya tha sharbat
 
Jab yaad Ali ko aaya tha ek tashna kaam Musalley par

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *