1. Aata Nahi Hai Ab Mujhe Ek Lamha Bhi Qarar,
Allah Mere, Sunle Dile-Zaar Ki Pukaar,
Tadpa Rahi Hai Har Gadi Furqat Husain Ki,
Ya Rab Karu’n Mai Jald Ziyarat Husain Ki
2. Nazro’n Me Mere Bas Gayi Kuch Ayse Karbala,
Aane Laga Hai Khwabo’n Me Rauza Imam ka,
Ho Jaye Kash Mujh Pe Inayat Husain Ki Ya Rab Karu’n
Mai Jald Ziyarat Husain Ki
4. Hasil Har Ek Amal Pe Isi Ko Hai Fauqiyat
Haj Se Bulando-Bala Hai Iski He Manzilat
Milti Hai Khushnaseebi Se Dawat Husain Ki,
Ya Rab Karu’n Mai Jald Ziyarat Husain Ki.
6. Karbobala Pahuchte He Zainab Ki Nikli Aah,
Mehsoos Khaak Me Jo Buey Booye-Khoone-Shah,
Bolin, Koi Hai Khaak Se Nisbat Husain Ki Ya Rab Karu’n
Mai Jald Ziyarat Husain Ki.
7. Zainab Se Phir Tadap Ke Ye Bole Shahe-Zaman,
Is Khaak Me Milega Mera Khoon ay !
Bahen, Is Sar Zamee’n Pe Hogi Shahadat Husain Ki,
Ya Rab Karu’n Mai Jald Ziyarat Husain Ki.
8. Sheh Ne Kaha, Hai Sare Maraz Ki Dawa Ye Khaak,
Kehlayegi Jahan Me Khake-Shifa Ye Khaak,
Hai Ye Shiyo’n Ke Waaste Daulat Husain Ki,
Ya Rab Karu’n Mai Jald Ziyarat Husain Ki.
9. Maham, Adeeya, Saniya Ki Hai Yahi Dua,
‘ Tauqeer ‘ Ki Qubool Khuda Karle Ilteja,
Le Jaye Karbala Usey Hajat Husain Ki Ya Rab Karu’n
Mai Jald Ziyarat Husain Ki
Comment