Mir Hasan Mir | Wasiyat e Bibi Fatima Zehra Noha | 2019

 

 

Haye Fatima Zahra, Haye Fatima Zahra
Haye Fatima Zahra, Haye Fatima Zahra
 
Haye!
 
●Baad baba ke jo guzri woh Musibat sun lo
Ya Ali, Fatima Zahra ki, wasiyyat sun lo
 
Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali
●Parda e shab me meri mayyat uthaana Ya Ali
Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali
 
●Pasliya tori gayi kayse ye batlaungi me
Hashr ke maydaan me bhi is haal me aungi me
Haath pehlu se na tum mera hatana Ya Ali
 
Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali
 
●Woh musibat aap ne acha huwa dekhi nahi
Ab me seedhe haath se tasbih hi parh sakti nahi
Aysa Qunfuz ne he mara taaziyana Ya Ali
 
Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali
 
●Kehti he Zainab ye mujse dekh kar chehra mera
Aap ke rukhsaar par ye neel he kaysa para
Me-ne khaya he tamacha mat batana Ya Ali
 
Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali
 
●Taziyane ki aziyyat ka uthaana ek taraf
Woh tamache, qatl-e-Mohsin, dar jalana ek taraf
Sab se mushkil tha magar darbar jana Ya Ali
 
Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali
 
●Jab meri talqeen parhna yaad kar lena zara
Dar ke ghir ne se mera bazu bhi he tuta huwa
Mere shano ko zara dheere hilana Ya Ali
 
Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali
 
●Chahe aa jaye qayamat, mujh se ye waada karo
Jab talak Maula mere shabbir ki marzi na ho
Tab talak mera janaza mat uthaana Ya Ali
 
Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali
 
●Jab se aayi hun palat kar fikr he mujh ko yahi
Me toh parde me gaye phir bhi za’eefa ho gayi
Be-rida darbar he Zainab ko jana Ya Ali
 
Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali
 
●Karbala me jab mere mazloom par khanjar chale
Pyaas ke aalam me wo ghazi ko jab awaaz de
Me bhi aungi waha par, tum bhi aana Ya Ali
 
Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali
 
●Haath pehlu par rakhe, boli Takallum Fatima
Me dua karti hun tum aameen keh dena zara
Jald aaye mere Mehdi ka zamana, Ya Ali
 
Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *