Hussaina…..2
Wirde Zabaan Hai Ek Pyase Ki Kahani
Mustarif Dajla Ka Pani
Sawa Na E Naize Pe Suraj Aa Gaya
Har Su Dhuwa Hai
Ro Rahe Hai Pyase Bacche Alqama Bhi Door
Ye Roze Ashoor Hai Hai…..3
Har Taraf Bikhre Hain Lashe Sar Kahi Bazu Kahi
Asmaan Se Khoon Barsa Khoon Ugalti Hain Zameen
Ambiyan Hain Mahewe Matam Karbala Hai Sogwaar
Ek Pyase Ke Gale Par shimr(LA) Ke Khanjar Ki Dhaar
Ret Ke Teele Pe ZAINAB (SAWS) Hai Magar Majboor Hai
Ye Roze Ashoor Hai Hai…..3
Kya Yehi Hota Hai Logon Ek Musafir Se Suno
7tvi Se Band Pani Aath Phehron Ki Hai Bhook
Iski Gurbat Par To Roye Zulm Bhi Aur Sabr Bhi
Myyaten Bhi Khud Uthai Aur Banai Qabr Bhi
Jism Hai Teeron Se Challi Dil Ghamon Se Choor Hai
Ye Roze Ashoor Hai Hai…..3
Zindagi Ke Malikon Par Zindagi Hai Nauhakhawn
Bain Karte Hain Kinare Alqama Mehwe Fugah
Ro Rahe Hai Zinda Lashen Maiyyaton Par Sar Nahi
Kya Kare Kisko Bulae Woh Ke Jinke Ghar Nahi
Maut Khud Karti Kari Hai Matam Zindaagi Na Soor Hai
Ye Roze Ashoor Hai Hai…..3
Jis Taraf Utthe Nighaen Bus Yehi Aae Nazar
Be Badan Lashen Sina Par Teer Talwar O Tabar
Dast Ki Jalti Zameen Par Baithen Hai Ahle Haram (Asws)
Ek SAKINA (SAWS) Ek BAQIR (ASWS) Chand Bacche Mehwe Gham
Aur Musafir Kheh Raha Hai Sab Mujhe Manzoor Hai
Ye Roze Ashoor Hai Hai…..3
Baanta The Dhoop Suraj Aj Kyu Gahen Aa Gaya
Ek Libase Soog Sare Dast Ko Phehna Gaya
Usne Dekha Ek Beta Jis Ka Bigda Bakht Hai
Warise SHABBIR (ASWS) Hai Woh Aur IMAM E WAQT (ASWS) Hai
Aj Woh Beemar Bhi Hai Bekaso Ranjoor Hai
Ye Roze Ashoor Hai Hai…..3
Kis Qadar Pur Noor Lashen Reh Gaye Jo Bekafan
Ek HAM SHAQLE PAYEMBER (ASWS) Ek QASIM (ASWS) Gulbadan
Hai Kahi AUN O MOHAMMED (ASWS) Aur Kahin Hai BEZABAAN (ASWS)
So Gaya Dariya Pe Jake Bekason Ka Paasban
In Ke Gham Me Asmaan Par Chand Bhi Be Noor Hai
Ye Roze Ashoor Hai Hai…..3
Nauhakhwaan Irfan Haider Madare SHABBIR (ASWS) Se
Kya Masaeb Aj Likkhe Tune Mazhar Abadi
Be Ridai Bikhre Lashe Aur Ye Jalte Khayaam
Aa Gaye Kaqaz Pe Jaise Dasht Ke Manzar Tamam
Lafz Hai Ya Jalte Kahime Har Shatar Ashoor Hai
Ye Roze Ashoor Hai Hai…..3
Comment