YE HAI ALAM ABBAS KA | Mesum Abbas | Nohay 2022 | Noha Hazrat Abbas | Muharram 1444 | Ghazi Alamdar

Aye Logo’n Aao Tumko Batau’n

Rehmat E Baari Tumko Dikhau’n

Saare Jahaan Ka Hai Ek Sahara

Ye Jo ALAM Mere Ghar Pe Laga Hai

Ye Hai ALAM ABBAS KA

Ye Hai ALAM ABBAS KA

Ghum Se Nikaale, Mushkilein Taale

Kaisa Wasila RAB Ne Diya

Ye Hai ALAM ABBAS KA

1). Hum Ne Alam Jab Ghar Mein Sajaya, Ghar Mein Rakhe ZEHRA Ne Qadam

Door Huye Sab Ranj O Masayeb, Phir Kaisi Mushkil Kaisa Ghum

Daste Karam Hai, SHEH Ka Bharam Hai

Jiska Koi Saani Na Mila

2). Ye Jo Bandhi Hai Mashk E SAKINA, Isko Kaho Taweez E Wafa

Rishta Bhatiji Aur Chacha Ka,  Aaj Talak Na Toot Saka

Ek Kahani, Iski Zabani

Sun Lo Agar Sunte Ho Sada

3). Dekho ALAM Ka Surkh Pharehra, Chadar E ZAINAB Se Hai Bana

Jo Bhi ALAM Ke Saaye Mein Aya, Duniya Ke Sab Ghum Bhool Gaya

Ab Jaake Mana, Sara Zamana

Saya Fighan Ghar Ghar Pe Hua

4). Aisa ALAM Duniya Mein Dikhao, Jiski Ata Ho Rab Ki Ata

Shaan E Azadari Ye Alam Hai, Dekho Azakhano Mein Zara

Mannatain Puri, Karta Hai Sabki

Zinda Hai Iske Dam Se Wafa

Haan……

5). HAMZA O JAFAR Ka Ye ALAM Hai, Hai Ye ALAM HAIDAR Ka ALAM 

Denge Gawahi SHAH E ZAMAN Bhi, Hai Ye Mere Lashkar Ka ALAM

Baarwa (12wa) HAIDAR, KAABE Ki Chhat Par

Lehra Ke Isko Dega Sada

Hayee….

6). Qatl Hua Jab Dariya Pe GHAZI, Toot Gayi MAULA Ki Kamar

Laasha Nahi SHEH Laye JARI Ka, Laye ALAM Hi Khoon Mein Tar

Beti Se Bole, SHABBIR Roke

Aye Nahi Dariya Se Chacha

7). Karbobala Ke Dasht Ka Manzar, Kaise Likhu Rota Hai Qalam

Bad E JARI Aulaad E PAYAMBAR, Nauhakuna Thi Zer E ALAM

Baali SAKINA, Karti Thi Noha

Saaye Mein Iske Aaye Qaza

8). Panja ALAM Ka MESUM O MAZHAR, Daste Karam ABBAS Ka Hai

Paal Raha Hai Saare Jahan Ko, Ye Bhi Hasham Abbas Ka Hai

Jisne Jo Manga, Usne Wo Paya

Phir To Zamane Ko Kehna Para

Ye Hai ALAM ABBAS KA

Ye Hai ALAM ABBAS KA

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *