Abbas Abbas Abbas Abalfazl
Abalfazl Abalfazl Abalfazl Abalfazl Abalfazl Alamdar
Saqi E Aal E Abaa Abalfazl
Tishna Labe Karbala Abalfazl
Tishna E Aab E Baqaa Abalfazl
Tishna E Aab E Baqaa Abalfazl
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl
Karb Shabbir Ky Chehray Sy Mitanay Walay
Ranj Say Aal E Muhamamd Ko Churhanay Walay
Thaam Lay Hath Pareshan Azadaron Ka
Ay Sakina K Liye Bazoo Katanay Walay
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl
Toot Jayen Na Meri Aaj Say Umeed E Haram
Mery Zakhmon Ka Faqat Aap Ho Ghazi Marham
Arbaeen Par Hamen Bula Lay Ziyarat K Liye
Aap Ko Pehlu Shikasta Kisi Bibi Ki Qasam
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl
Hum Ko Duniya Ka Tarafdar Na Honay Dena
Sirf Bataon Ka Azadar Na Honay Dena
Sadqa Shehzadi Ruqaiyya Ky Bandhay Hathon Ka
Hum Ko Mushkil Mein Giraftar Na Honay Dena
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl
Likh Do Taqdeer Mein Phir Karbala Jana Ghazi
Apna Darbar Hamen Jald Dikhana Ghazi
Wasta Deta Hun Zakhm E Ali Akbar Ka Tumhen
Karbala Saray Jawanon Ko Bulana Ghazi
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl
Us Gharhi Nazron Mein Ashoor Ki Roodad Aai
Aansoo Ankhon Mein Bharay Honton Py Faryad Aai
Samnay Pani Tha Aur Pee Bhi Nahi Sakta Tha
Mujh Ko Rozay Mein Teri Pyas Bahut Yaad Aai
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl
Tum Ho Shabbir Ki Beti Ka Sahara Ghazi
Bun Tumharay Na Hua Us Ka Guzara Ghazi
Shimr Ny Jab Bhi Sakina Ko Tamanchay Maaray
Us Ny Baba Ko Nahi Tum Ko Pukara Ghazi
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl
Us Gharhi Khaima E Sadaat Mein Kohram Hua
Khoon Bhara Jis Gharhi Ran Say Tera Parcham Aaya
Pyasi Mar Jaun Gi Aur Pani Nahi Mangun Gi
Torh Kar Koozay Yeh Masoom Sakina Nay Kaha
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl
Tu Ny Acha Hua Bhai Ki Na Ghurbat Dekhi
Tahnay Deta Tha Koi Shah Py Hansta Tha Koi
Apnay Bhai Ki Madad K Liye Ran Mein Aa Kar
Lash Zainab Ny Uthai Hai Ali Akbar Ki
Shah Ny Ro Kar Kaha Abalfazl
Utho Meray Bawafa Abalfazl
Tanha Hai Bhai Tera Abalfazl
Tanha Hai Bhai Tera
Abalfazl Abalfazl Abalfazl Alamdaar
Akhri Lamhon Mein Shabbir Bahut Pyasay Thay
Barhi Hasrat Say Sooye Nehr Nazar Kartay Thay
Shimr Hans Hans Ky Lagata Raha Terah Zarben
Aur Har Waar Py Shabbir Sada Detay Thay
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl
Mir Sajjad Bayan Kaisay Karay Woh Manzar
Sham Ki Faoj Ny Jab Aag Lagai Aa Kar
Cheen’nay Aa Gaye Jab Sar Sy Rida Zainab Ki
Us Gharhi Kehti Rahi Sani E Zahra Ro Kar
Abalfazl Abalfazl Abal Fazl Alamdaar
Abal Fazl Abal Fazl Abal Fazl Alamdaar
Comment