Haye sajjad.. haye sajjad..(2)
tha ye manzar ajab,
alam e zarr me jab
ahd o paymaan karbobala ke hue..(2)
saare waado ki haami bhari shaah ne
manzil e sabr mein uff na ki shaah ne..(2)
baat zainab ke parde ki aayi thi jab..(2)
hogaye roke khamosh shahe arab
bole sajjad…..
haan kaho baba ye kaam to mujhko karna hai
ye aapka beta karbal se
ek qaafla lekar jayega
waada sajjad nibhayega..(2)
sajjad nibhayega..
waada sajjad nibhayega..(2)
1. Ghar aap lutayenge baba
bazaar mein jaana hai mujhko..(2)
maqtal ko aap basaenge
zindaan basana hai mujhko..(2)
zindaan mein apni behna ko
ye nauhakhwaa’n dafnayega
waada sajjad nibhayega..(2)
2. Jab gyarah moharram aayegi
sadaat banenge jab qaidi..(2)
mehmil ke bajaye ooto’n par
aulad e payambar baithegi..(2)
us roz se aapka shehzada
salaar e haram kehlayega
waada sajjad nibhayega..(2)
3. Hum basti basti jayenge
barsegi aag kahi’n patthar..(2)
dekhengi nigaahe aada ki
jab meri phuphi ko bechadar..(2)
dauran e safar bas ye hi sitam
beemar ke sarr ko jhukayega
waada sajjad nibhayega..(2)
4. Akho’n se lahu barsayega
durre bhi badan par khaega..(2)
us tashnalabi ki shiddat mein
zanjeer ka bojh uthayega..(2)
ye zakhm bhi dil par khayega
baaghi ka pisar kehlayega
waada sajjad nibhayega..(2)
5. Napaak zabano par hoga
jab naam ali ki beti ka..(2)
zanjeer bhi mujhpar royegi
aur tauq bhi mujhpar royega..(2)
aye baba ye ghum ka manzar
sajjad ko khoon rulayega
waada sajjad nibhayega..(2)
6. Royegi mashiyat bhi mujhpar
jab dekhegi ye haal mera..(2)
sadqe ki khajoorein barsegi
yu hoga isteqbaal mera..(2)
ghairat ka khuda is ummat se
ye ajr e risalat payega
waada sajjad nibhayega..(2)
7. Kulsoom ke aage jab khooli
abbas ke sar ko layega..(2)
us waqt sina se reti par
abbas ka sar gir jayega..(2)
ghush kha kar sambhlega qaidi
sambhlega phir ghush khayega
waada sajjad nibhayega..(2)
8. Irfan e aza dil zainab ka
wo dard o alam ka mazhar tha..(2)
zanjeer mein jakde qaidi ka
har waqt yehi ek nauha tha..(2)
waada sajjad nibhayega
waada sajjad nibhayega
waada sajjad nibhayega..(2)
sajjad nibhayega
waada sajjad nibhayega..(2)
Comment