Shadman Raza | Zameen e Karbala | 2015

 

Zameen e Karbala pe dil taraptha chor aaya hoon
Ghame Shabeer mein rotha bilaktha chor aaya hoon

Mujhe mehsoos hotha hai sare maidan mein jaise
Sakina ko andhere mein sisaktha chor aaya hoon

Zaifi mein utaya Shah ko Laashe Ali Akbar
Kabhi ghirtha khabi phir se sambaltha chor aaya hoon

Doowa payla huwa hurr ek soo tha us shaame ghariba mein
Mein ek bemar ka bistar dehektha chor aaya hoon

Ghuluwe Asgar besheer ko haathon pe Syed ke
Mein run mein theer ke pal se ulajtha chor aaya hoon

Shabe ghurbat mein madar doondthi thi ghumshuda bache
Use tareek jungle mein bataktha chor aaya hoon

Jise Madar ke turbath pe Ali shab mein chale jaathe
Use bazaar se din mein guzartha chor aaya hoon

Sada halmin ki ub hur pal mujhe wapas bulathi hai
Ali ke laal ko tanha mein lartha chor aaya hoon

Bohut dushwaar tha Karbobala ko alwida kehna
Rawa saason ko seene mein ataktha chor aaya hoon

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *