Shadman Raza | Ay Baba Deakhtay Rehna | 2015

 

Ay Baba! dekhtay rehna Aye Baba! dekhty rehna

Aye Baba! dekhtay rehna
Bithata hai mujhay shimr-e-sitamgar pusht-e-naka par
Ay Baba dekhty rehna!

Khuda kay wastay rakhna nazar mujh par meray Baba
Na janay kiun satata hai yeh mujh ko dar meray Baba
Kahin aisa na ho kay raah mein mar jaon main gir kar

Ay Baba! dekhtay rehna
Bithata hai mujhay shimr-e-sitamgar pusht-e-naka par
Aye Baba dekhtay rehna!

Meray nazdeek say shimr-e-sitamgar jab guzarta hai
Yateemi par khuda janay meri kiun tanz karta hai
Kahin aisa na ho rakh day guloo-e-khushk par khanjar

Ay Baba! dekhty rehna
Bithata hai mujhay shimr-e-sitamgar pusht-e-naka par
Ay Baba dekhtay rehna!

Reham khaya na meri kum sinii par baani -e-shar nay
Shutar ki pusht say bandha hai ay Baba sitam gar nay
Main sar sy paon tak orhay huye hoon zakhmon ki chadar

Ay Baba! dekhtay rehna
Bithata hai mujhay shimr-e-sitamgar pusht-e-naka par
Ay Baba dekhtay rehna!

Meri ankhon kay aagay aap ka chehra rahay Baba
Mujhay deedar doran-e-safar hota rahay Baba
Har ek sadma sahaa kar loon gi lekin mujh ko murh murh kar

Ay Baba! dekhtay rehna
Bithata hai mujhay shimr-e-sitamgar pusht-e-naka par
Ay Baba dekhtay rehna!

Main saabir baap ki beti hoon duniya ko bataun gi
Mujhay jis haal mein lay jayen gay aada main jaon gi
Na aaye ga kisi bhi morh par shikwa meray lab par

Ay Baba! dekhtay rehna
Bithata hai mujhay shimr-e-sitamgar pusht-e-naka par
Ay Baba dekhtay rehna!

Chcha abbas ka sar kiun nazar aata nahi mujh ko
Main kub sy dhundti hon par nazar aata nahi mujh ko
Thehar jaye to batlana sar-e-naiza chcha ka sar

Ay Baba! dekhtay rehna
Bithata hai mujhay shimr-e-sitamgar pusht-e-naka par
Ay Baba dekhtay rehna!

Meri qismat nay ay Baba yeh kaisay din dikhaye hain
Khuda janay kay ab tak kitnay pathar main nay khaye hain
Main roti hoon to ghurbat par meri hanstay hain ahl-e-shar

Ay Baba! dekhtay rehna
Bithata hai mujhay shimr-e-sitamgar pusht-e-naka par
Ay Baba dekhtay rehna!

Laga rakhi hai ay Baba meray ronay pay pabandi
Bata sakti nahi jo kaifiat is waqt hai meri
Musalsal kha rahi hoon pusht par korhay kabhi pathar

Ay Baba! dekhtay rehna
Bithata hai mujhay shimr-e-sitamgar pusht-e-naka par
Ay Baba dekhtay rehna!

Karun main dastaan-e-ranj-o-ghum Asif baya kaisay
Sunaye ahl-e-emaan ko sakina ki fughan kaisay
Sadaa yeh aaj bhi ay Shadman aat hai reh reh kar

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *