Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Ya Hussain
Jari Hai Sadiyon Say Safar Karbobala Ka
Karwan Chalta Hi Raha Ahl E Aza Ka
Jaisay Kabhi Maula Nay Hum Ko Na Bhulaya
Hum Nay Bhi Wallah Na Maula Ko Bhulaya
Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Woh Tera Sar Na Jhukana Apnay Waday Ko Nibhana
Tum Ko Bhoola Na Zamana Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Kaisay Hussain Aap Ki Hum Shan Batayen
Kaisay Woh Alfaaz Bhala Dhoond Ky Layen
Kitna Hai Baichain Yeh Dill Kaisay Batayen
Kaash Yeh Dill Khol Ky Hum Tum Ko Dikhayen
Tum Ko Hum Nay Na Bhulaya
Ghum Yeh Bachpan Say Manaya
Aur Sab Ko Hai Sunaya
Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Na Bhoolay Thay Na Bhoolen Gay Yeh Ghum Tera Hussain
Wallah Rahay Ga Yeh Sada Yaad Ya Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Karbobala Ata Hai Ab Sara Zamana
Kaisay Bani Kis Nay Kiya Is Ko Mualla
Kis Ki Hai Jageer Yahan Kon Hai Rehta
Kon Hai Is Saltanat E Noor Ka Maula
Woh Hussain Ibne Ali Hai
Woh Nawasa E Nabi Hai
Karbala Jis Say Saji Hai
Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Woh Tera Sar Na Jhukana Apnay Waday Ko Nibhana
Tum Ko Bhoola Na Zamana Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Maula Hussain Aap Say Kya Kya Nahi Seekha
Kya Hai Behan Bhai Ka Maan Baap Ka Rishta
Kaisi Ho Aulad Yahan Dost Ho Kaisa
Hum Ko Yeh Sab Karbobala Mein Nazar Aaya
Kahin Ghazi Sa Baradar Kahin Beta Ali Akbar
Kahin Zainab Si Woh Khuahar Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Na Bhoolay Thay Na Bhoolen Gay Yeh Ghum Tera Hussain
Wallah Rahay Ga Yeh Sada Yaad Ya Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Pehli Dafa Karbobala Jab Main Gaya Tha
Charon Taraf Meray Tha Jannat Ka Nazara
Mera To Har Lamha Ibadat Mein Hi Guzra
Jaagna Din Raat Azadaron Mein Rehna
Kabhi Is Rozay Py Jana
Kabhi Us Rozay Py Jana
Farsh Matam Ka Bichana
Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Woh Tera Sar Na Jhukana Apnay Waday Ko Nibhana
Tum Ko Bhoola Na Zamana Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Aaj Bhi Hum Aisay Muharram Hain Manatay
Apnay Gharon Mein Hain Aza Khanay Sajatay
Saray Azadar Sabeelen Hain Lagatay
Naam Py Maula Kay Tabarruk Hain Khilatay
Kalay Kaprhay Hain Pehantay
Farsh E Matam Hain Bichatay
Aap Ka Gham Hain Manatay
Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Na Bhoolay Thay Na Bhoolen Gay Yeh Ghum Tera Hussain
Wallah Rahay Ga Yeh Sada Yaad Ya Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Jab Bhi Alam Dekha Alamdar E Wafa Ka
Yad Hamen Aaya Woh Mashkeeza Woh Dariya
Laot Ky Jab Aaya Na Saqqa E Sakina
Lut Gaye Sadaat Sitam Kya Nahi Dekha
Kabhi Bazar Mein Jana
Kabhi Darbar Mein Jana
Kabhi Zindaan Nibhana
Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Woh Tera Sar Na Jhukana Apnay Waday Ko Nibhana
Tum Ko Bhoola Na Zamana Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Kal To Tahay Ashoor Mein Tanha Meray Maula
Aaj Hai Sath Aap Kay Yeh Sara Zamana
Aap Ko Har Nasl Nay Har Qaom Nay Mana
Hota Hai Har Mulk Mein Labbaik Hussaina
Ab To Har Dill Ka Hai Nara
Ab To Har Ghar Hai Tumhara
Sara Aalim Yeh Pukara
Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Woh Tera Sar Na Jhukana Apnay Waday Ko Nibhana
Tum Ko Bhoola Na Zamana Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Na Bhoolay Thay Na Bhoolen Gay Yeh Ghum Tera Hussain
Wallah Rahay Ga Yeh Sada Yaad Ya Hussain
Comment