Nohay 2020 | ALI ASGHAR KA GALA | Hashim Sisters | New Noha 2020 | Muharram 1442

 

Fizza ney kaha Khaimay sey hat jaaiye Bibi…
Maqtal sey nigaaho ko, hataadijiey jaldi…
Zaalim Ali Asghar ka, gaala kaat raat hai
 
Haey Haey Shah e Vala ney jissey dafn kiya tha
Aur qabr mein jhuk jhuk kay Bohot pyaar kiya tha
Us chaand sey chehr pey gehen lag gaya bhaari
 
Nezey ko chubhaata tha laeen narm zameen par
Afsos ussey milgayi lash e Ali Asghar
Ab jaakay Musallay pe Dua maangiey jaldi
 
Gardan Ka abhi zakhm bhi taaza hai hara hai
Nanha sa shalooka bhi abhi khoon mein bhara hai
Ab dil pey rakho haath karo girya o zaari
 
Neza jo sitamgar ney kiya qabr sey bahar,
laash aagayi ik nanhi si neza mein lipat kar
Baalon sey ussay khainch kay, hasnay laga naari
 
Bano ney kaha Fizza sey deedaar tou karloon,
main door sey bachay ko Zara pyaar tou karloon,
honay ko  hai ab hashrr talak us sey judaai
 
Zaalim ney kiya Maa ka kale-ja ta ho baala,
sar tan sey Qalam karkay badan khaak pey dala,
Fizza yehi kehti rahi ba girya o zaari
 
Aey Mahum o Ainee yeh dua hoton pey aaey,
Allah kissi maa ko yeh manzar na dikhaaey,
Jhulsaaya hua jism hai aur khoon hai jaari
 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *