Kisi bhi baap pe aaye na waqt ye Akbar Mere bete Akbar,
Mere pyare Akbar Mere bete Akbar,
Mere pyare Akbar Lipat rahe hain meri rooh se alam beta,
Nazar kesaamne tum todte ho dam beta,
Jo dekhta hun nadekhe koi pidar manzar.
Kisi bhi baap pe aaye na waqt ye Akbar
Tumhare seene pe tooti’n museebate’n beta,
Mai dekhun kaise tumhari azeeyaten beta,
Pedar kesaamne koi kabhi na tadpe pesar.
Kisi bhi baap pe aaye na waqt ye Akbar Jawan beta
kisi ka agar guzarta hai, Ke zindarehke bhi wo baap samjho marta hai,
Nazar kesaamne jaye koi na noore-nazar
Kisi bhi baap pe aaye na waqt ye Akbar
Tumhare seene me barchi ka phal jo toota hai,
Mere jigar me Guma’n hota hai wo toota hai,
Chalekisi pe na mujhpar chala hai jo khanjar.
Kisi bhi baap pe aaye na waqt ye Akbar Tumhara
jism jo teero-sina’n se zakhmi hai, ay !mere laal
mera jism samjho chalni hai, lage’n kisi pena mujhpar
lage’n hai’n jo nashtar. Kisi bhi baap pe aaye na waqt ye Akbar
Tumhare zakhm se reh reh ke khoo’n ubalta hai,
Mujhe ye lagta hai mera he dam nikalta hai,
Mai kyabataoun tumhen jo guzarti hai dil par Kisi bhi
baap pe aaye na waqt ye Akbar Tumhari ay ali Akbar jo sans ukhadti hai,
Mujheye lagta hai duniya meri ujadti hai,
Ho beqarar jo tum mera jeena hai doobhar.
Kisi bhi baap pe aaye na waqt ye Akbar Mai hath janibe-khanjar agar badhata hun,
Tumhare zakhm se mai kaanp- kaanp jaata hun,
Nikaaun kaise tumhare jigar se mai khanjar.
Kisi bhi baap pe aaye na waqt ye Akbar
Comment