Ay Faqeeh E Hussain Ay Habib E Hussain
Habib Ibn E Mazahir
Ay Faqeeh E Hussain Ay Habib E Hussain
Yeh Khat Mein Shah Ny Likha Habib Aa Jao
Tumhara Dost Hai Tanha Habib Aa Jao
Yeh Kat Mein Shah Ny Likha Habib Aa Jao
Shaheed Kaisy Hua Woh Batao Gy Aa Kar
Tum Haal E Muslim E Bey Kas Sunao Gy Aa Kar
Ruqaiyya Takti Hai Rasta Habib Aa Joa
Ye Khat Mein Shah Ny Likha Habib Aa Jao
Lagao Is Sy Bhi Andaz E Meri Ghurbat Ky
Jahan Py Ibne Ali Likhna Tha Wahan Main Ny
Diya Hai Maan Ka Hawal Habib Aa Jao
Ye Khat Mein Shah Ny Likha Habib Aa Jao
Bata Raha Tha Usy Koi Bhi Nahi Hai Mera
To Boli Sani E Zahra Habib Aye Ga
Hai Us Ko Tum Py Bharosa Habib Aa Jao
Ye Khat Mein Shah Ny Likha Habib Aa Jao
Woh Jab Yeh Sunti Hai Kufy Sy Aa Rahy Hain Shaqi
To Poochti Hai Hamara Bhi Aye Ga Koi
Duayen Dy Gi Sakina Habib Aa Jao
Ye Khat Mein Shah Ny Likha Habib Aa Jao
Gawara Kar Nahi Sakti Hussain Ki Ghairat
Tumhari Zoja Ki Chadar Ko Loot Ly Ummat
Tum Us Ko Chorh Ky Kufa Habib Aa Jao
Ye Khat Mein Shah Ny Likha Habib Aa Jao
Mujhy Hai Yad Woh Lamha Jo Rab Ki Marzi Sy
Tum Ho Ky Zinda Meri Bat Sun’ny Aye Thy
Bula Raha Hun Dobara Habib Aa Jao
Ye Khat Mein Shah Ny Likha Habib Aa Jao
Dar E Batool Dobara Jalaya Jaye Ga
Tumhary Dost Py Khanjar Chalaya Jaye Ga
Nahi Hai Waqt Zyada Habib Aa Jao
Ye Khat Mein Shah Ny Likha Habib Aa Jao
Chamakty Chand Ki Hum Ko Bhi Deed Ho Jaye
Tum Aao To Mery Bachon Mein Eid Ho Jaye
Bahot Udas Hai Kunba Habib Aa Jao
Ye Khat Mein Shah Ny Likha Habib Aa Jao
Yeh Khat Nahi Isy Behnon Ki Arzoo Samjho
Hamary Lafzon Ko Zainab Ki Guftagoo Samjho
Behn Yeh Kehti Hai Bhaiya Habib Aa Jao
Ye Khat Mein Shah Ny Likha Habib Aa Jao
Behn Ny Us Ko Takallum Jo Bhai Samjha Tha
Pukari Sham E Ghareeban Mein Sani E Zahra
Hamara Lut’ta Hai Parda Habib Aa Jao
Ye Khat Mein Shah Ny Likha Habib Aa Jao
Ay Habib e Hussain
Comment