Zia E Khoon E Shaheeda Ki Dilkashi ZAINAB (SA)…..2
Husainiyat Ke Charagon Ki Roshni ZAINAB (SA)
Zia E Khoon E Shaheeda Ki Dilkashi ZAINAB (SA)…..2
Kiya Woh Rah Mein Bartaw Kalma Goyo Ne…..2
Ke Jaise Thee Na Nawasi RASOOL (SAWW) Ki ZAINAB (SA)
Aza E SHAH (AS) Mein Hi Zindagi Tamam Hui…..2
Na Apne AUN (AS) O MOHAMMAD (AS) Ko Ro Saki ZAINAB (SA)
ALI (as) Ke Lal Ka Lasha Tadap Utha Us Dam…..2
Tumhare Bazu Mein Jis Dam Rasan Bandhi ZAINAB (SA)
Kisi Ne Mara Jo Patthar To Chup Rahi Lekin….2
Kaha Jo Baghi Kisi Ne To Ro Padi ZAINAB (SA)
Lahu Me Dobi Hui Bediya Wo Bete Ki…..2
Safar Mein Tham Ke Dil Dekhti Rahi ZAINAB (SA)
HUSAIN (AS) Choor The Zakhmon Se Phir Bhi Uth Baithe….2
Kaha Jo Shimr Ne Khaime Se Aa Gai ZAINAB (SA)
Hijab Mein Bhi Jahan Se Guzar Na Mushkil Tha…..2
Wahan Pe Kaise Khule Sar Khadi Rahi ZAINAB (SA)
Husainiyat Ko Baqa Is Liye Nisar Mili…..2
Yazidiyat Ke Mukabil Nahi Jhuki ZAINAB (SA)
Husainiyat Ke Charagon Ki Raushni ZAINAB (SA)
Comment