Mir Hasan Mir | Karyal Jawan Ki Lash Noha | 2019

 

Seedhi ho ay qamar tujhe Abbas ki qasam
 
●Akber haye Akber,Akber haye Akber
Ghoray se gir kay jab Ali akber ne di sadaa
Apni qamar ko tham ke Shabbir ne kaha
 
●Karyal jawan ki lash uthane chale hain hum
Seedhi ho ay qamar tujhe Abbas ki qasam
 
●Yeh imtihan zaeefi mai mujh ko nibhana hai
Akber ko le kay khema e Zainab mai jana hai
Raste mai larkharain na Shabbir ke qadam
 
●Gurbat pe apni roya hai khud ibn e Fatima
Gir gir ke tay kiya hai yeh maqtal ka fasla
Bus hum se dur lash hai Akber ki do qadam
 
●Rasha hai is qadar ke larazte hain mere hath
Lasha hai yeh rasool ka Akber ke sath sath
Do lashe ik sath uthayen ge kese hum
 
●Is haal mai kahin mujhe Zehra na dekh lein
Meri qamar jhuki hui baba na dekh lein
Atay hee honge meri madad ko shah e umam
 
●Seenay mai keh kay tori hai zalim ne yeh sina
Ab dekhna Hussain ki niklegi kese jaan
Zalim ko yeh batana hai ibne Ali hain hum
 
●Is haal mai khayam mai jaoga kis tarha
Zainab ki kainat uthaonga kis tarha
Zehra ka chand karb o bala mai hua hai khum
 
●Amman ke sath mil ke seena mai ne khench li
Hathon mai ab hamare wo taqat nahi rahi
Abbas kiya gaye mere bazoo hui qalam
 
●Bahein galay mai daal di Akber ne jis ghari
Ibn e Ali ne ro ke taqalum sada yeh di
Sansein bachi hain ab mere Akber ke pas kam

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *