haye abbas haye abbas..(2)
Haye abbas, haye abbas
haye mera abbas..(3)
haaye
ro rahi hai soch kar…(2)
ummul bani ye aaj bhi
asghar e besheer jaisi qabr hai abbas ki..(2)
1. Rashk karti thi mai aksar haider e qarrar par
paaon khat dete the uske baith kar rahwaar par
haye mere sher ki..(2)
ye kaisi halat hogayi
asghar e besheer…
2. Marke bhi usne nibhaya mujhse jo waada kiya
apne bete ki wafa par fakhr hai mujhko bada
ab nahi asghar ki maa se kuch mujhe sharmindagi
asghar e besheer…
3. Baap ke badle musalmano ne bete se liye
sar juda hai tan juda bazu juda hai sher ke
aap ki tasweer tukde..(2)
hogayi hai ya ali
asghar e besheer…
4. Kaun lad sakta tha usse, kisme tha itna jigar
sunti hu nau laakh ne maara hai usko gher kar
laash bhi uski salamat dasht mein rehne na di
asghar e besheer…
5. Kya qad o qamad thi uski, ye use maloom tha
ek gathdi mein simat kar, kaise qasim aagaya
umme farwa jaanti hai..(2)
kya hai meri bekasi
asghar e besheer…
6. Kab samata tha meri chadar mei tu aye mere laal
kar diya hai zalimo ne ye tere laashe ka haal
ye mere sar ki rida bhi tere turbat se badi
asghar e besheer…
7. Keh ke ya abbas karta hai wo ashko se wuzu
darti hu jaari na ho phir uske aankho’n se lahu
saamne abid ke yu..(2)
kehti nahi hu mai kabhi
asghar e besheer…
8. Ro ke karti hai salam unko takallum karbala
Fatima zehra se maa bete ne ki aise wafa
madar e abbas ki turbat bhi hai tooti hui
asghar e besheer…
Comment