MESUM ABBAS | THORA SA FASLA HAI NOHA | 2018

 

THORA SA FASLA HAI | BIBI ZAINAB |
 
Khanjar Me Aur Gale Me
Thora Sa Fasla Hai Khanjar Me Aur Gale Me (x2)
Zainab Ka Dum Ruka Hai Bus Itne Fasle Me
 
1)
Khanjar Ko Dekhti Hai, Bhai Ko Dekhti Hai
Atthaara Bhai’on Ki, Tanha Behen Khari Hai
Abbas Tum Kahaan Ho, Iss Sakht Marhale Main…
Thora Sa Fasla Hai Khanjar Me Aur Gale Me
 
2)
Na Zeen Na Zameen Par, Jiska Badan He Haye
Pehle Hi Zakhm Jisne, Unees Sau Hain Khaaye
Zaalim Lagay Hain Phir Bhi, Gardan Ko Kaatne Me…
Thora Sa Fasla Hai Khanjar Me Aur Gale Me
 
3)
Qaatil Khara He Laikin, Sheh Muskuraarahe Hain
Zainab Se Apne Ansoo, Sarwar Chupa Rahe Hain
Masroof Hain Behen Ko, Ab Bhi Sambhaalne Me…
Thora Sa Fasla Hai Khanjar Me Aur Gale Me
 
4)
Mushkil Kusha Ki Beti Nade Ali He Parhti
Bete Hain Na Bhateeje Koi Nahi He Baaqi
Aakar Madad Kare Jo, Khanjar Ko Rokne Me…
Thora Sa Fasla Hai Khanjar Me Aur Gale Me
 
5)
Beheno Ke Dil Se Poocho, Ehsaas Ki Ghari Hai
Sattar Qadam Se Zainab, Manzar Jo Dekhti Hai
Dil Na Sambhal Sake Ga, Manzar Vo Sochne Main…
Thora Sa Fasla Hai Khanjar Me Aur Gale Me
 
6)
Ek Bewatan Musaafir, Pyaasa He Teen Din Ka
Tegh-e-Sitam Ke Neeche Bhoola Nahi Vo Sajda
Uthti Hai Surkh Aandhi, Maqtal Hai Zalzale Me…
Thora Sa Fasla Hai Khanjar Me Aur Gale Me
 
7)
Seene Pe Rakhe Zaanoo Qaatil Ruka Hua He
Salman aur Mesum Khanjar Na Chal Saka He
Do Haath Arahay Hain Khanjar Ke Raaste Me…
Thora Sa Fasla Hai Khanjar Me Aur Gale Me

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *