Jhuley mai khelne wale Aye mere gunchadahan
khali jhula hai tera Tha ye ek maa ka
sukhan khali jhula hai tera
1) raas aaya nhi nhi pardares mai jeena
tujhko Dhundti phirti hai godon mai sakina
tujhko Kaise bhule gi bahen khali jhula hai tera.
2) tujhko tanhai bohot qabr ki tadpayegi
Neend jungle mai mere laal kaha aayegi Hai
yahi runj o mahan khali jhula hai tera.
3) beh gye khwb sabhi khoon ke fawarey
mai Asr se pehle mera chand tha gehwarey
mai Lag gya haye gahan khali jhula hai tera.
4) laut aayega toh lori bhe sunaongi tujhe
Apni aghosh mai main leke sulaongi tujhe Hogi
dinbhar ki thakan Khali jhula hai tera.
5) maa ki aagosh se jati nhi khushbu teri
Usko tasveer nazar aati harsu teri Dil mai hoti hai chubhan khali jhula hai tera.
6) meri aagosh mai aaja ke sawarun tujhko
Tu hi batla de ke kya khe ke pukarun tujhko
Nazish e shah e zaman khali jhula hai tera.
7) puche mamta se ke kya hota hai aulad ka daagh
Kardia maut ne gul dasht mai jhule ka charagh
Ab kaha koi kiran khali jhula hai tera. garmi e qabr
tujhe aab o hawa kya degi Ye kadi dhoop tujhe
dasht mai jhulsa degi Phool jaisa hai badan khali jhula hai tera.
9) koi maa aamir o akhtar ye sada deti hai Apni awaz
se jhuley ko hila deti hai Aa bhe ja jaan e chaman Khali jhula hai tera.
Comment