Jari ke Bazu Noha

Jari ke khaq par bazu pade hain

Qamar thame hue sarwar khade hain

1) sakina se they kuch manoos itne Lage hain

teer mashiqizey par jitne

Wo sab abbas ke dil mai gade hain

2) na pucho haal e akbar hmara Badan zakhmi hai

be hathon ka sara Chacha kitne masayab se lade hain

3) dilasa pyas ke maaron ko dene Chalo abbas hum aaye

hain lene Tumhare muntazir bache bade hain

4) na le jana meri mayyat yaha se Waisyat sunke ammu

ki zuba se Ali akbar tadap kar roo pade hain

5) mai ab pani nahi ansu peeyungi Chacha

aajayea kaise jiyeungi Mera nanha sa dil hain gham bade hain

6) rida ab bhai ke shano par dalo Na

tadpo aye bahen khudko sambhalo Tumharey

imteha’n issey kadey hain

7) ghulami ka tha wada apni maa se Kahen abbas bhai ki

zaba se Magar iss bat par sarwar adey hain

ruke kab aamir o akhtar ye ansu Bohot yaad

aaye ek saqqey ke bazu Masayab jab bhe ghazi ke padhe hain

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *