Irfan Haider || Ali Ya Ali Haider || 1440 || Noha

 

Ali ya ali, haider..(4)
Ash hadu anna aliyan waliyullah
Parsaa
Ye ishq baba deta hai…parsaa
 
Dar dar pe bhatakna chod de..(2)
ghairo ke dar pe aana jaana chod de
jo baan’t raha hai rizq e hunar..(2)
tu bhi usi se lau laga..(2)
darwesh sifat hojaa…
haider, haider ya haider, haider
asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah
darwesh sifat hojaa
tab dil mein haider aaenge.
 
Salman yehi samjhata hai..(2)
aur malik e ashtar kehta hai
haider ya haider..
asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah
 
1. Aajaye ajal to marta nahi ye wasf bhi haider rakhta hai
ghutne se naan e jabi tode angusht pe khaiber rakhta hai
haider to usi ko kehte hai..(2)
jo aql e bashar se baala hai
haider, haider ya haider, haider
asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah
darwesh sifat hojaa…
tab dil mein haider aaenge.
 
2. Allah mera mausoof nahi na dekh falak ki janib tu
darwesh ki fitrat mein dhalja aaega samajh mein allahu
padh nehje balagha ghaur to kar..(2)
tauheed ka pehla khutba hai
haider, haider ya haider, haider
asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah
darwesh sifat hojaa…
tab dil mein haider aaenge.
 
3. Wash shams bhi haider maula hai, wallayl bhi sura e kausar bhi
Me’raj ki shab ye raaz khula hai wahi hijab e akbar bhi
wo kaun hai, kya hai, kabse hai?..(2)
insaan isi mein uljha hai
haider, haider ya haider, haider
asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah
darwesh sifat hojaa…
tab dil mein haider aaenge.
 
4. Khaliq ki gawahi mursal hai, mursal ki gawahi haider hai
takhleeq ke din se aaj talak har pal ki gawahi haider hai
jab kuch bhi nahi tha, tab mai tha..(2)
ye sirf ali ka daawa hai
haider, haider ya haider, haider
asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah
darwesh sifat hojaa…
tab dil mein haider aaenge.
 
5. Kya marhab o antar ke qisse, ye baat purani hai logo
wo waqt e shahadat ka manzar ye asl kahani hai logo
darwesh bano tab samjhoge..(2)
kya fuzto bi rabbil kaaba hai
haider, haider ya haider, haider
asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah
darwesh sifat hojaa…
tab dil mein haider aaenge.
 
6. Irfan e azaa, irfan e wila sab ishq e ali se milta hai
har phool wila ki khushbu liye tauheed ke dil mein khilta hai
wo mazhar e yazdaa’n ka mazhar..(2)
aayat e wila ka maqta hai
haider, haider ya haider, haider
asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah
darwesh sifat hojaa…
tab dil mein haider aaenge.
Ali ya ali, haider..(4)

 

 

 
 

 

 

 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *