Hassan Sadiq | Nana Teri Zainab Ne | 2004

 

nana teri zainab ne wo dard uthaye hai
zaalim ka zulm dekha aansu nikal aaye
 
mai shaam ki galiyo se sar nange guzar aayi
nana teri ummat ne din ye bhi dikhaye hai
nana teri zainab ne….
 
pathar jo baraste thay zehra ke gharanay par
is haal pe suraj ne khud ashk bahaaye hai
nana teri zainab ne….
 
ye khoon bhara kurta hai tere nawase ka
bhai ki nishani hum tere liye laaye hai
nana teri zainab ne….
 
gham kha gaya zainab ko nana ali akbar ka
mat poocho watan may hum kis tarha se aaye hai
nana teri zainab ne….
 
zindan ke andhere may neend aayi sakina ko
hum khabr sakina ki wahan choad ke aaye hai
nana teri zainab ne….
 
saughat-e-safar nana pardes se hum qaidi
ye neel rasan ke hai jo shano pe laaye hai
nana teri zainab ne….

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *