Akbar Ali Akbar (as)
●Shiddat e Sabr Sy Mar Jaye Na Maa Akbar as Ki
Din Madinay Main Woh Taqdeer Ny Dikhlaya Hai
Jisne Mari Thi Kalajay Main Sinah Akbar (as) Ky
Ban Ky Mehmaan Woh Sajjad (as) Ky Ghar Aya Hai
Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar
●Sheh Taraptay Hain Qabr Ky Andar
Maa Tarapti Hai Qabr Sy Bahar
Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar as Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar
●Phir Wohi Kaifiyat Hai Laila Ki Haal Tha Jo Jawan Ky Lashay Per
Uske Qadmon Ki Ahatain Sun Kar Maa Ny Thama Hua Hai Apna Jigar
Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar
●Chehra Karbobala Ki Janib Hai Pani Hathon Main Ly Ky Roti Hai
Gir Raha Hai Nigaha Main Maa Ki Ali Akbar Ki Maut Ka Manzar
Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar
●Umme Laila Sambhal Zainab Ko Kal Yea Shabbir Dy Rahe Thy Sada
Ajj Abid Phuppi Sy Kehte Hain Maa Ko Meri Sambhaliye Ja Kar
Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar
●Qabr e Zahra Sy Arhi Hai Sada Isne Mara Hai Mere Baba Ko
Phir Madinay Main Ekk Qayamat Hai Phir Raha Hai Mazar e Paighambar
Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar
●Ali Akbar Lipat Ky Qadmon Sy Keh Rahe Honge Apne Baba Sy
Toot Jaye Na Zabt Ka Bandhan Hosla Maa Ko Dijiye Ja Kar
Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar
●Sar e Akbar Utha Ky Nezay Per Umme Laila Ko Yea Dikhata Tha
Usko Kaise Woh Bhool Sakti Hai Jis Sy Khaye Thy Sham Main Pathar
Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar
●Yea Kareemi Sy Ruk Nahi Saktay Qatilon Ko Duain Detay Hain
Is Sy Pehle Ky Baksh Dain Abid Koi Mukhtar Sy Kahay Ja Kar
Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar
●Tumne Ny Sajjad Mujh Ko Pechana Sun Ky Qatil Sy Bolay Yea Maula
Tou Woh Ibne e Numair Hi Hai Na Jisne Tukray Kiya Humara Jigar
Kal Thy Mehmaan Hum Teray Zalim Ajj Mehmaan Tou Humara Hai
Aur Kuch Chahiya Bata Tujh Ko Abhi Kehdon Phuppi Sy Main Jakar
Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar
●Dil Nahi Lagta Ajj Ghar Main Mera Aye Takallum Yea Maa Ka Noha Tha
Tham Kar Boli Mere Bazu Ko Le Chalay Fatima Ki Turbat Per
Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar
Comment