haay zainab haay haay shaam
jhoon jhoon baazaar qarib aaya
zainab ko ghazi yaad aaaya
haathon se ya phir baalon se tchehre ko tchhupaale shehzaadi
ye shaam shaher ki galiyaan hain dil thaamle ay aaqa zaadi
fizza ne jab ye batlaaya
maahol sharaabi jab dekha baba ki vasiyat yaad aayi
koyi to mujhe tchaadar laade hothon pe yehi fariyaad aayi
jab koyi nahin tchaadar laaya
phir shaam ke logon ne badla ajdaad ka yun zainab se liya
tchaadar tchhini patthar maare or garm kabhi paani phaika
durra jo sakina ne khaaya
abbas kahaan hai ay zainab jab shimr hiqaarat se bola
gash khaane lage sab ehle haram kulsum pukaari wa waila
sajjad ko yasrab yaad aaya
khaamosh rahi aulaade nabi karbal se yahaan tak zulm saha
khuli ye manaadi karne laga ye kunba hai ek baaghi ka
mazlum jo baghi kehlaaya
har gaam naya ek zulm huwa laatchaar musaafir zainab par
zainab ko rulaaya zaalim ne naaqon ke qarib neza laa kar
shabbir ka sar jo dikhlaaya
farhan qayaamat ka gham hai mazhar ne likha hai kya nauha
shabbir bina abbas bina ye pehla safar tha zainab ka
jhoon jhoon baazaar qarib aaya
zainab ko ghazi yaad aaaya
Comment