Farhan Ali Waris | Sajjad Ki Ay Sada | Noha | 2015

 

Sajjad ki is waqt qayamat ki ghadi hain
Zainab dayaare Shaam me sar nange khadi hain

Sajjad ki aayi sada kaisa sitam yeh ho gaya
Ya rab dayare gair me binte Ali hain berida

1) Na mehramon ki bheed me Kaunain ki shahzadiyaan
Is dard se rota hoon main qaidi bani saydaniyaan

Ye dil sukoon na payega yeh gam mujhe kha jayega

Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida

Sajjad ki ayi ….

Ya rab dayaare …

2) Kaise saje hain bamodar kis zulm ki tajdeed hain
Qaidi hhain aale Mustafa in Shaamiyon ki eid hain

Kyu sakht ho dil par bhala
Yeh dard hain sabse bada

Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida

Sajjad ki aayi….

Ya rab dayaare ….

3) Sar Zainab o Kulsum ka aya use jis dam nazar
Ek bawafa gayyur ka thehra nahi Naize pe

Sar khaak par uska gira
Karta hua bas yeh buka

Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida

Sajjad ki aayi…

Ya rab ddayaare..

4) Paani kabhi maanga nahi tishna labon ke waste
Chadar talab karta hu main in bibiyon ke waste

Taarekhiyon me din chuka
Aandhi chala aur khaak uda

Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida

Sajjad ki aayi…

Ya rab dayaare….

5) Jinko churaaya qaid se meri phuphi ne baariha
Qaidi banaakar laaye hain woh log bhi yeh hain Jafa

Kya waqt ham par aa gaya
Ehsaan ka hain yeh sila

Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida

Sajjad ki aayi…

Ya rab dayaare….

6) Ek dard ki barchi si hain is kalb me tuti huwi
Ummat bhi hain yeh bewafa taqdeer bhi ruthi huwi

Kaise kate ye faasla
Ya de qaza ya hausla

Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida

Sajjad ki aayi….

Ya rab dayaare….

7) Farhan o Mazhar Abdi kya thi qayamat ki ghadi
Ek maalike qadron kaza faryad karta tha yahi

Mujh par sitam ab aur kya
Dhaaegi yeh ummat bhala

Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida

Sajjad ki aayi….

Ya rab dayaare….x2

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *