Haye Haye Yeh Safar Zainab (S.a.) Ka….4
Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai
Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai

Napaak Nigahon Se Ghar Mujhko Bachana Hai
Quran Mere Bhai Naize Pe Sunana Hai
Kis Tarha Chupaie Khudko, Is Wakt Bahan Lachar Hai
Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai…..
Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai
Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai
Jo Wada Kiya Tujhse Pura Ushe Karna Hai
In Sham Ki Galion Se Beparda Guzar Na Hai
Chadar Ka Muhafiz Jot Tha Is Baat Pe Matam Dar Hai
Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai…..
Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai
Hay Kisko Sada De Zainab (S.A.), Sajjad (A.S.) Mera Beemar Hai
Kis Darja Musibat Hai Kis Darja Pareshani
Barsaie Koi Patthar Koi Phenke Garm Pani
Koi Sadka Hum Par Phenke Koi Jalte Hue Angare
Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai…..
Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai
Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai
Yeh Aalam E Majboori Bus Roti Rahi Zainab (S.a.)
Gazi (A.s.) Ki Bahan Ho Kar Kutch Kar Na Saki Zainab (S.a.)
Zalim Ne Teri Bacchi Ko Kai Bar Tamache Mare
Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai…..
Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai
Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai
Yeh Shami Humein Paidal Kanton Pe Chalate Hai
Gash Ka Ke Jo Gir Jaien Durron Se Jagate Hai
Chale Bhi Yahi Kehte Hai, Aur Zakhm Jigar Ke Sare
Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai…..
Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai
Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai
Ek Dard Kaleje Mein Har Wakt Hi Rehta Hai,
Pani Koi Deta Hai Baaghi Koi Kehta Hai,
Bus Itni Dua De Bhai Is Wakt Na Himmat Hare,
Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai…..
Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai
Hay Kisko Sada De Zainab (S.A.), Sajjad (A.S.) Mera Beemar Hai
Hum Mehve Tamasha Hai Qaidi Hai Bareh Na Sar,
Ek Bar Nahi Sar Se Nau Baar Chini Chadar,
Ek Shaks Humein De Chadar, Aur Dusra Aake Utare
Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai…..
Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai
Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai
Sajjad (A.s.) Ki Lachari Dekhi Nahi Jaati Hai
Jo Usko Aziyat Hai Zanzeer Batati Hai
Beemar Ke In Aankhon Se Behte Hai Lahu Ke Dhare
Haye Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai…..
Na Mehmil Hai Na Chadar Aur Sham Ka Yeh Bazar Hai
Hay Kisko Sada De Zainab (S.a.), Sajjad (A.s.) Mera Beemar Hai
Farhan Ki Mazhar Ki Aankhon Mein Woh Manzar Hai
Daurane Safar Nauha Bibi (S.a.) Ke Labon Par Hai
Aai Bhai Teri Furkat Hai Jeete Jee Mujhe Jo Maare

Comment