Me sunata Hu tumhe Ek Pyase Ki Kahani
Mohammad Ke Nawase Ki Kahani
Yani karbala Ki Kahani
Rone Walo Suno PursaDaro Suno *2 Soghwaro SUno Maatamdaro Suno
Ek Halke Me AAjao Maatamkare
Farz Jo HAi Lahoo Par Ada Hum Kare
Ghar Mohammad Ka Kis Tarah Luta Gaya
Bas isi Gham Me Karna Hai Maatam Bapa
Aane Wali Har EK Nasl BAyn Kare
Saari Dunia Hussain Hussain kare * 2
Mere Kamsin Hussainio
Karbala Ki Kahani Suno *3
Is Kahani Me Zehra s.a Ka Ghar Bhaar HAi
Inka Beta Jo Jannat Ka sardar Hai
Markazi Is Kahani Ka Kirdar Hai
Uska Ek Bhai Hai jO (alamdar Hai) *2
Tum Tasavvur Me Maqtal Chalo
Karbala Ki Kahani Suno *4
Nusrate Haq Ki khatir Woh Ghar Se Chala
2 Moharram Ko Pahoche The KArbobala
Maao Behno KA Baccho KA Bhi saath Tha
7th vi Se Musafir Ko (pyasa rakha)*2
is Musibat ka maatam Karo
Karbala Ki Kahani Suno *3
Subh Ashur Kaisi Ibadat Hui
Teer Chalte Rahe Aur Jamaat HUi
Ek Ek Karke Sabki shahadat Hui
Asr Ka waqt Aaya (Qayamat Hui) * 2
Apne haathon Se Dil Thamlo
Karbala Ki Kahani Suno *3
Us Taraf Laakhon Aur the Bahatthar Idhar
Kat gaye Banme Tiflo Jawan Sab ke Sar
Reh Gaya Ban Me Tanha Ali Ka Pisar
Di Sada Sheh Ne halmin Ki BaChashme Tar * 2
Halmin Nasirin Yansurana
Aur Fir FArzande Zehra S.a Akele Hogaye
Na Akbar Hai Na Kasim Hai Na Abbas hai Na Auno Mohammad hai Na Koi Nisar Baaki Raha
Maqtal Me Imam Hussain a.s Sada De Rahe The
Halmin Nasirin Yansurana
Koi Hai Jo Meri nusrat Ke Liye Aye
Sunke Isteghasae Shahe Karbala Hussain
Wo jo Ek Bhai Sheh ka alamdar Tha Abbas
Uska Sahil Pe Laasha Tadapne Laga
Haay Hussain
Sheh Ne HAsrat Se Charo TAraf Ki Nazar
Haye Hussain
Koi Bhi To Nahi Tha Waha
Haye Hussain
Al garaz Sheh ne Lashkar Pe Hamla Kiya
Hussain hussain
Aur Rajaz Ye Pada
Jang Ab Uski Dekho Zara Shamiyon
Jiska Koi NA Baaki Raha Shamiyon
Jiske Qasim Ko Tukde kiya Shamiyon
Hue Auno Mohammad Juda Shamiyon
Jiska Ansar ek Na Raha Shamiyon
Jiska Abbas jaisa Baradar Gaya
Jiske Akbar Ke Sine Me Naiza Laga
Bezaban Bhi Gaya
Aur Kuch Der Me Surkh Darya Ka Pani Hua
Aur Fir haatife Gaybi ki Aayi Sada * 2
Ya Ayyatohan Nafsul Mutmainnna Irjaee Ela rabbeke raziyatam Marziyaa
jab Imam Hussain a.s Ne sada Suna
To Fir Apni Talwar Ko Myan Me Rakh Diya aur fir ek sada ko baland kiya
Aao Ae teero aao Ae Talwaro Aao Ae Pattharo Mujh Pe Aao Barso
Bas maula ki sada baland hui Kahi Se Teer Chale Kahi Se Talware Chali kahi Se Patthar Barse Aur Mere Maula hussain Lahoo Luhan Ho Gaye
Laakhon ke Lashkar Aise Bhi LOg The Jiske Haath Me Jiske Haath me Jo Chiz AAyi Usne Imam Hussain a.s Par Barsana Shuru Kiya
Tanha Hogaya Fatema s.a KA Laal * 2
Chur Zakhmo Se Zehra s.a Ka Lakhte Jigar
Haye Hussain a.s
Gir Gaya Pushte Rehwaar Se Khak Par
Andhiyan Surkh Chalne Lagi
Aur Zameen Khun Ugalne Lagi
Khund Khanjar Chala Halke Shabbir Par
Ek Tille Pe Zainab Ne ROkar Kaha
Haye Hussaina *3
Karbala Ki Kahani Suno *3
Baade Qatle Shahe Din Jafa Yu Hui
Hogaye Ban Me paamal Laashe sabhi
Sir Sina par Gaye Lash ban me rahi
Ban Me Nakkahare bajne Lage Us Ghadi * 2
is Masaeb Pe Girya karo
Karbala Ki Kahani Suno*4
Din Dhal Gaya Aur Sham Aagayi * 2
Aagaye Lutne Bibiyon ko shaki
Saare Khaime Jale Sabki Chadar Chini
tapta Sehra tha * 2
bas aur ale nabi
aur pehre pe binte ali aagayi
rote rote ye shab kati sadaat ne
subh hote hi sadaat qaidi bane
ek rasan zulm ki aur 12 gale
tauk zanjeer me maula sajjad a.s the
janibe sham ahle haram jab chale
ek ek lash be sar pe rote hue
Bain Zainab ke the lashe Shabbir pe
Janib e Sham jate hain ham sar khule
Meri hasrat hain matam tera na ruke
Aur Mazhar tera yeh masaeb likhe
Tera Farhan tere masaeb padhe
Sari duniya teri yeh kahani sune
Anewali har ek nasl bain kare
Sari duniya Hussain Hussain kare…..x2
Kitna taweel hain Hussain ka safar
Ek nasl khatam hoti hain dusri tayyar khadi hain
Socho to aql hairan hain
Ek shakhs kayi sadiyon baad bhi dilon par hukmarani kar raha hain
Yeh thi Karbala ki kahani
Yeh thi pyaase ki kahani
Mohammed ke nawase ki kahani
Comment