Farhan Ali Waris | Imam e Zamana | 2021 | 1443

 

 

Utha Ky Parda Dikha Do Jalwa Ay Ibne Zahra Imam E Zamana

Haseen Manzar Woh Kab Dikhy Ga Khuda Ky Ghar Py Alam Ka Saya
Namaz Parhwayen Gy Jo Mola To Peechy Saf Mein Milen Gy Eesa
Haram Mein Majlis Bapa Karen Gy Parhen Gy Noha Imam E Zamana

Utha Ky Parda Dikha Do Jalwa Ay Ibne Zahra Imam E Zamana

Bahut Hi Chota Sa Ghar Hai Mera Par Is Mein Hujra Hai Aik Tera
Sharaf Yeh Mery Liye Barha Hai Tu Mujh Sy Kar Ly Yeh Aik Wada
Bas Aik Shab Ko Tu Merey Ghar Mein Qayam Karna Imam E Zamana

Utha Ky Parda Dikha Do Jalwa Ay Ibne Zahra Imam E Zamana

Misal E Kaaba Yeh Dill Hai Mera Hai Is Mein Mola Tera Basaira
Sada E Dharhkan Mera Areeza Bhala Main Kaghaz Py Ab Likhun Kya
Jo Dharhkanon Ki Sada Suny Ga To Jan Ly Ga Imam E Zamana

Utha Ky Parda Dikha Do Jalwa Ay Ibne Zahra Imam E Zamana

Safar Tha Paidal Jab Arbaeen Ka Main Har Jaga Tujh Ko Dhundta Tha
Tu Zayeeron Mein Tu Ashiqon Mein Ay Mery Maola Kahin To Ho Ga
Yeh Soch Kar Hi Main Sab Ky Qadmon Ko Choomta Tha Imam E Zamana

Utha Ky Parda Dikha Do Jalwa Ay Ibne Zahra Imam E Zamana

Kitab E Haq Sy Yeh Mainy Jana Har Aik Shey Ko Fana Hai Mola
Laga Hua Hai Qaza Ka Pehra Nahi Hai Sanson Ka Ab Bharosa
Jo Band Ho Jayen Meri Ankhen Mujhy Jagana Imam E Zamana

Utha Ky Parda Dikha Do Jalwa Ay Ibne Zahra Imam E Zamana

Tujhy Tasawwur Mein Jab Bhi Dekha Ali Ky Jaisa Tera Hasham Tha
Thi Tery Qabzy Mein Taigh E Haider Alam Hai Kandhy Py Bawafa Ka
Misaal E Dul Dul Sawar Andaz E Faatihaana Imam E Zamana

Utha Ky Parda Dikha Do Jalwa Ay Ibne Zahra Imam E Zamana

Dua Hai Mazhar Ki Rat Din Ab Kahen Gy Ameen Matami Sab
Ho Sehan E Kaaba Mein Jab Bhi Majlis Baraye Zikr E Hussain O Zainab
Ba Gharz E Noha Tum Apny Farhan Ko Bulana Imam E Zamana

Utha Ky Parda Dikha Do Jalwa Ay Ibne Zahra Imam E Zamana

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *