Farhan Ali Waris | Abbas Utho | Noha | 2015

 

Haye zakhmo se chur chur
the mazloom e Karbala
Khanjar sambhale hath
me Shimr laeen badha
Baithi thi apne laal ke nazdeek Sayyeda
Ek baar ayi kanon me mazloom ki sada
Abbas…….x5
Rukh suwe alkama kiya
Karne lagi yeh bain
Abbas utho
Tumko sada deta hain Hussain…x3

1. Sadmon se tishnagi se
dilafgar hain Hussain
Zakhmo se chur chur hain
laachar hain Hussain
“Kitni sitamgaron me
giraftar hai hussain”
Teri madad ka aaj talabgar hain Hussain
Abbas utho tumko…..x2

2. Sab khoon chuka hain
ban me sahare mera Hussain
Noha kuna hain dard ka mara mera Hussain
Karta hain zere lab jo
ishare mera Hussain
Tujhko nahi to kisko pukare mera Hussain
Abbas utho tumko…..x2

3. Sheh ke gale pe shimr
ne rakkhi ju hi churi
Wo dekh khaymagah se Zainab nikalo padi
Aankhe mere Hussain ki
ashkon se hhain bhari
Chin jaye na behan ki
rida fikr hain badi
Abbas utho tumko….x2

4. Tanha sitamgaron
ne ise gher liya hain
Jee jaisa jiska chaha
sitam usne kiya hain
Teeron se pattharon se
ise zakhmi kiya hain
Ab janibe Hussain sitamgaar bandha hain
Abbas utho tumko….x2

5. Tere supurd karke gaye the jise Ali
Kya yaad woh wassiyate aakhir nahi rahi
Maqtal hain yeh Hussain
ka aur qatl ki ghadi
Sunkar fuga Hussain ki kehne lage Ali
Abbas utho tumko….x2

6. Khanjar sambhale hath
me hain Shimr badsitar
Karti hain bain maut
buka karti hain hayat
Ek din me lut gayi hain
mere bacche ki kaynat
Dekhe suwe khayam kabhi Janine furaat
Abbas utho tumko….x2

7. Is haal me bhi shukre
khuda karta hai Hussain
Khamosh rehke zulm o
sitam sehta hain Hussain
Teri wafa ka tujhko
sila deta hain Hussain
Is bekasi me tumko
sada deta hain Hussain
Abbas utho tumko….x2

8. Farhan o Mazhar Abedi
kaisa woh khwab tha
Aashur ka woh roz tha hum aur Karbala
Pohoncha paye ziyarat e Abbas e bawafa
Kanon me aayi ek sisakti hui sada
Abbas utho tumko….x2

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *