Hussain Hussain Hussain
Kya Poochty Ho Ahl E Aza Haye Kya Karun Bayaan
Main Zaayer E Hussain Hun Aur Aik Noha Khuwan
Aya Hun Karbala Sy Basad Ranj Aur Fughan
Koi Karay Sawal Yeh Aansoo Hain Kiun Rawan
Dil Karbala Main Reh Gaya Main Aa Gaya Yahan
Yeh Dil Bina Hussain Ky Paye Sukoon Kahan
Dil Karbala Main Reh Gaya Main Aa Gaya Yahan
Nam E Hussain Kafi Tha Ronay Kay Wastay
Ek Ek Qadam Rulati Hai Yun Karbala Mujhy
Pehlay Main Khaima Gaah E Hussain Py Ruk Gaya
Yad Aa Gaya Keh Aik Bahan Yaan Thi Noha Khuwan
Ghurbat Mein Qatal Ho Gaya Mazloom Bey Watan
Main Bhai Bhai Kehti Thi Lasha Bahan Bahan
Dil Karbala Main Reh Gaya Main Aa Gaya Yahan
Nikla Main Us Ky Baad Khayaam E Hussain Say
Aasar Thorhi Door Thy Qatah E Yadain Kay
Dekha Maqam E Bazoo Bureeda Main Ro Diya
Kaisy Pukara Ho Ga Wafaon Ka Aasman
Meray Hath Nahi Hain Mery Hath Nahi Hain
Dil Karbala Main Reh Gaya Main Aa Gaya Yahan
Nazdeek Tha Muqam E Ali Akbar E Jawan
Giriya Kunaan Thi Sehra Liye Chand Bibiyan
Awaz Ek Fizaon Mein Dil Ko Hilati Thi
Baba Mily To Kehna Keh Kehta Tha Ek Jawan
Hai Jan Ab Labon Par Barchi Na Khainchna
Boly Pidar Sy Akbar Barchi Na Khainchna
Dil Karbala Main Reh Gaya Main Aa Gaya Yahan
Gehwara Ek Choti Imarat Mein Tha Rakah
Gehwaray Mein Shalooka Tha Ek Khoon Mein Bhara
Gehwara Choom Choom Ky Dy Dy Ky Lorian
Lagta Tha Keh Rahi Hon Hussain O Hasan Ki Maan
Maan Qurban Asghar Jaan Aa Jao
Dil Karbala Mein Reh Gaya Main Aa Gaya Yahan
Han Woh Maqam Jo Keh Zameen Sy Buland Tha
Beti Ali O Zehra Ki Pahunchi Basad Buka
Dekhi Jo Chalti Gardan E Shabbir Par Churi
Zainab Pukari Baba Ghazab Ho Gaya Yahan
Zainab Lipat Ky Baap Sy Deti Rahi Sada
Satar Qadam Ka Faasla Bhai Bahan Mein Tha
Dil Karbala Mein Reh Gaya Main Aa Gaya Yahan
Jannat Nishan Hai Aaj Bhi Roza Hussain Ka
Maqsood E Kayenaat Hai Baba Hussain Ka
Itnay Ameer Baap Ky Bety Ny Kiun Kaha
Faryad Kar Rahi Ho Jo Sookhi Hui Zubaan
Amman Ghareeb Hun Main Amman Ghareeb Hun Main
Dil Karbala Mein Reh Gaya Main Aa Gaya Yahan
Manzar Barha Ajeeb Tha Rehan Aur Raza
Maqtal Ki Simt Janay Lagy Shah E Karbala
Aur Neend Sy Sakina Ky Chehray Py Warm Tha
Goudi Mein Ly Ky Sheh Ny Kaha Ab Na Ho Fughan
Meri Sakina Ko Neend Aa Rahi Hai
Meri Sakina Ko Neend Aa Rahi Hai
Comment