Dar E Batool Jalaya by Ali Hamza New Noha 2018

 

Dar E Batool Jalaya Gya Madiney Mein
Ali Ko Khoon Rulaya Gya Madiney Mein

Sayeda Tahira

Dar E Batool Jalaya Gaya Madiney Mein
Ali Ko Khoon Rulaya Gaya Madiney Mein

Najany Kya Hua Baad E Nabi Zamanay Ko
Namaz Jis Sy Hai Qayem Woh Ghar Jalany Ko
Namaziyon Ko Bulaya Gya Madiney Mein

Dar E Batool Jalaya Gaya Madiney Mein

Sitam To Yeh Hai Tamashai Ban Gai Duniya
Kisi Ny Kuch Na Kaha Dekhti Rahi Duniya
Ali Ko Qaidi Banaya Gya Madiney Mein

Dar E Batool Jalaya Gaya Madiney Mein

Shikasta Pehloo Jo Zehra Dikhai Deti Hai
Hadis E Biz’ato Minni Duhaai Deti Hai
Nabi Ka Khoon Bahaya Gya Madiney Mein

Dar E Batool Jalaya Gaya Madine Mein

Kaha Yeh Bhai Ny Ek Bhai Sy Galy Lag Kar
Hasan Bhula Nahi Sakta Hussain Woh Manzar
Jab Hath Maan Py Uthaya Gya Madiney Mein

Dar E Batool Jalaya Gya Madine Mein

Jawab Kya Den Ali Poochti Hai Yeh Beti
Ay Baba Jalta Hua Dar Gira Ky Maan Py Meri
Suna Hai Jashan Manaya Gya Madiny Mein

Dar E Batool Jalaya Gaya Madiney Mein

Hua Yeh Zulm Jo Masjid Mein Ro Parhy Maula
Woh Jis Ny Mara Tha Binte Rasool Ko Durra
Wazeefa Us Ka Barhaya Gya Madine Mein

Darr E Batool Jalaaya Gya Madiney Main

Kaha Rasool Sy Binte Rasool Ny Ja Kar
Fidak Na Dety Mujhy Koi Gham Nahi Tha Magar
Mera Mazaq Urhaya Gya Madiney Mein

Dar E Batool Jalaya Gya Madiney Mein

Yeh Raaz Dafn Hai Do Bhaiyon Ky Seeney Mein
Nabi Ki Beti Ko Masjid Mein, Ghar Mein, Koochay Mein
Kahan Kahan Py Sataya Gya Madiney Mein

Dar E Batool Jalaya Gya Madiney Mein

Hasan Hussain Ko Pehchan Hi Nahi Pai
Tamam Ho Gai Binte Nabi Ki Beenai
Tamancha Aisa Lagaya Gaya Madiney Mein

Dar E Batool Jalaya Gaya Madiney Mein

Ghareebi Likhy Takallum Ameer Ki Kaisy
Andhairi Raat Mein Chup Kar Madiney Walon Sy
Mazaar E Zehra Banaya Gya Madiney Mein

Dar E Batool Jalaya Gya Madiney Mein

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *