Barchi Ki Ani Khainch Ke Bole Shahe Wala
Mai Kaise Uthaun Ali Akbar Ka Jazanaza
Haye Ali Akbara Waye Ali Akbara
Kuch Bhi Nazar Ata Nahi Kis Simt Ko Jaun
Imdad Ki Khatir Mai Bhala Kisko Bulaun
Koi Nahi Is Aalame Ghurbat Men Hamara
Me Kaisay Utthaon Ali Akber (A.S) Ka Janaza
Tooti Hai Kamar Chhaya Hai Nazron Mein Andhera
Furqat Me Jawa(N) Laal Ki Beenaee Gaee Ha
Borah Ha Pader (Pider) Gham Se Kamar Toot Gaee Ha
Do Naher Se Abbas Mujhay Aakay Sahara
Me Kaisay Utthaon Ali Akber (A.S) Ka Janaza
Tooti Hai Kamar Chhaya Hai Nazron Mein Andhera
Haato(N) Pa Uttha Rakha Tha Khayber Ka Gira/Gara Der
Mashhooray Do Aalam Hein Shujaat Me Ab Aaker
Ay Baba Ali (A.S) Aap Hi Batlaeyn Khudara
Me Kaisay Utthaon Ali Akber (A.S) Ka Janaza
Tooti Hai Kamar Chhaya Hai Nazron Mein Andhera
Ay Kaash Kay Tum Jatay Na Derya Kay Kanaray
Es Terha Na Hotay Kabhi Halaat Humaray
Ay Mayray Wafadaar Bata Dejeay Itna
Me Kaisay Utthaon Ali Akber (A.S) Ka Janaza
Tooti Hai Kamar Chhaya Hai Nazron Mein Andhera
Amma Tayray Baytay Pa Qayamat Ki Ghari Ha
Jalti Hoee Raytee Pay Jawa(N) Laash Pari Ha
Taaqat Bhi Nahi Dayti Ha Ab Saath Humara
Me Kaisay Utthaon Ali Akber (A.S) Ka Janaza
Tooti Hai Kamar Chhaya Hai Nazron Mein Andhera
Aankho(N) Se Yehi Sonch Kay Aansoo Nahi Ruktay
Kiya Hoga Agar Deikh Liya Bintay Ali (S.A) Ne
Berchi Me Ha Lipta Hova Akber (A.S) Ka Kalayja
Me Kaisay Utthaon Ali Akber (A.S) Ka Janaza
Tooti Hai Kamar Chhaya Hai Nazron Mein Andhera
Berbaad Hoee Run Me Kamaee Mayri Saari
Akber (A.S) Kay Laho Se Ye A’ba Ter Ha Humari
Her Gaam Barha Jaata Ha Ferzund Ka Sadma
Me Kaisay Utthaon Ali Akber (A.S) Ka Janaza
Tooti Hai Kamar Chhaya Hai Nazron Mein Andhera
Zainab (S.A) Ne Kaha Khaymay Se Rotay Ho Way Mahum
Me Saath Houn Tanha Nahi Shabbir E Pur Ghum
Kehti Thi Bahan Sheh Se Hilal Ab Nahi Kehna

Comment