Mainy Rukhsaron Py Zalim Sy Tamanchay Khaye Aag Daman Mein Lagi Chin Gaye Durr Bhi Haye
Ap Ko Meri Qasam Hai Yeh Batayen Mujh Ko Aisy Hota Hai Yateemon Sy Sulook Haye
Ammay Baba Yam Kujaast
Dukhtar E Shah E Shaheedan Ny Tarhap Kar Yeh Kaha Chin Gai Sar Sy Rida Khaimon Mein Kuch Bhi Na Raha Wawaila Zainab Zainab Wawaila Wawaila Aisy Aalam Mein Apny Baba Ko Dhundun Main Kahan Ammay Baba Yam Kujaast
Shiddat E Gham Sy Na Mar Jaun Sar E Dasht E Bala Har Taraf Lashy Hi Lashy Hain Kahan Jaun Bhala Wawaila Zainab Zainab Wawaila Mery Baba Hain Jahan Mujh Ko Bhi Ly Jao Wahan Ammay Baba Yam Kujaast
Woh Jo Soi Na Kabhi Baba Ky Seeny Ky Siwa Us Ko Ek Khak Ky Bistar Py Bhi Sony Na Diya Wawaila Zainab Zainab Wawaila Tazionon Sy Jagaty Hain Sitamgaar Yahan Ammay Baba Yam Kujaast
Haye Baba Ny Barhy Nazon Sy Pala Hai Mujhy Aur Yahan Shimr Ny Durron Sy Bhi Mara Hai Mujhy Wawaila Zainab Zainab Wawaila Apny Baba Ko Dikhaun Gi Yeh Zakhmon Ky Nishan Ammay Baba Yam Kujaast
Mujh Sy Kiun Rooth Gaye Baba Thi Kya Meri Khata Kaash Ho Jati Main Asghar Ki Tarha Un Py Fida Wawaila Zainab Zainab Wawaila Ro Diye Ahl E Haram Sun Ky Yeh Bachi Ka Bayaan Ammay Baba Yam Kujaast
Aai Jab Giarah Muharram Ki Sahar Waa Ghurbata Qafila Aal E Muhammad Ka Sooye Shaam Chala Wawaila Zainab Zainab Wawaila Aik Shehzadi Thi Ro Ro Ky Jo Karti Thi Fughan Ammay Baba Yam Kujaast
Aably Paon Mein Thy Aur Galy Mein Thi Rasan Kitni Lachar Thi Pardais Mein Akbar Ki Bahan Wawaila Zainab Zainab Wawaila Qaid Khany Mein Bhi Rehti Thi Yun Hi Noha Kunaan Ammay Baba Yam Kujaast
Haye Sajjad Ny Ay Akhtar O Irfan E Aza Apni Hamsheer Ko Dafnaty Huye Di Yeh Sada Wawaila Zainab Zainab Wawaila Khoon Kaanon Sy Sakina Ky Abhi Tak Hai Rawaan Ammay Baba Yam Kujaast
Comment